31 October 2015

Facebook Friends List Ko Kaise Chhupaye

Facebook duniya ki number one social networking site hai ye to aap bhi maante hoge. Ek servey ke mutabik average har active user 23 minute facebook ek din me use karta hai. Facebook par hum hamari zindagi se judi sari baate share karte hai jisko duniya dekh sakti hai. Facebook use karne me to koi dikkat nahi par hame hamari privacy ka bhi diyaan rakhna padta hai.Q ke ham nahi chate ke hamare sari jaankari sabso dikhe ham facebook me set kar sakte hai ke kon hame tag kare kon hamare photo dekhe ya kon hame friend request send kar sakta hai Hamare Privacy ke liye ham chate hai ke hamare jo friends hai bo kisi ko naa dikhe ya fir bas nuhi ko dikhe jinko hum chahe, To chaliyeh jaante hai 1. Apne Facebook account login karo 2. Apne Profile account 1. Friends par click karen 2. Pencil ke icon par click karen 3. Edit Privacy par click karen 1. Ab ek popup window khulega 1. Friends list ke samne jo option hai us par click karen. Agar aap chate hai ke aapke friends aapke friends list ko dekh paye to friends select karen ya fir aapke sibha koi nahi dekh to Only me select karen 2. Done par click karen Yeh lijiye ab aapke friends ki list ko aapke bina koi nahi dekh sakta to aapke yeh jaankari kesi lagi ya koi dikkat to nahi aai comment karke jarur bataye

30 October 2015

Facebook Username Kaise Set Karte Hain

http://www.facebook.com Aagha hassan khoso To chaliyeh dekhte hai iske kya faide hai or isko kaise badla jahe Facebook username ke faide Wese to dekha jayeh to simple yeh ek username hi hai jisko type karke ud ko khola ja sakta hai par iske kuch faide bhi hai jo me points me bata raha hon 1. Facebook account me login karne ke liyeh hum username ka istamal kar sakte hai apne Email ID or mobile number ki jagha. 2. Apne dost ko apne profile ke bare me batana ho ya koi hamare profile ko search karna chahe to username ki madad se aasani se kar sakta hai. 3. Facebook username ki madad se hamare profile google search me bhi aane lagati yeh un logon ka jabab hai jo mojhse puchhte hai kaise facebook ID ko search me layeh 4. Yaad rakhne me asan ho jati hai apne ID Sabse phele facebook account me login karen fir aapko account ke setting me jana hai, 1. Drop down erow par click karen 2. Settings par click karen Ab jo page khulega usme General me username ke samne jo Edit ke link hai uspar click karen ab hame apne account ke liyeh username dalna hai 1. Username ke box me aap apna username dale aesa dale jisko yaad rakhne me aasan ho. Or agar aapke naam ka username available ho to usko dale jo set karne ke liyeh available hoga to samne Tik ka nisan aa jayega 2. Ab save changes ki button par click karen Yahan ek baat diyaan rakhne wali hai ke aapne ek bar username set kar diya to baadme sirf ek baar aap username ko Edit kar sakte hai to phele achhi se sochle kya username rakhna hai uske baad hi set karen

Facebook Profile Photo Kaise Set Karte Hain

Yeh bhut hi asan hai, aap bas mere steps ko dekhein kaise kya karna hai, facebook ham computer browser me bhi chalate hai or facebook ka jo app hai usme bhi me dono ke bare mein bataoga Sabse phele apne facebook account me login karen Step.1 login karne ke baad upar jo apka naam likha hoga uspar click karke apne profile page par jayeh Ab jo aapke profile photo jo phele khali hoti hai, uspar click karen Step.2 Ab ek popup window khulega. Usme select kare kaise image ko set karna chate hai. 1. Computer se image upload karne ke liyeh +upload photo par click karen 2. Agar Direct webcam se photo lena ho to Take photo par click karen 3. Agar aapka jo photo se set hai usko sahi se set karna hai to aap pencel ke icon par click karke kar sakte hai Step.3 computer me phele se image ho to upload image karen. Or computer me se image ko select karke upload karen Ab apke image upload hone ke baad aa jayege, aap usko crop karke jese set karna chate hai karke save karde Ummid hai apko yeh post achha lage

29 October 2015

Facebook Group Kaise Banate Hain

Aaj hum sekheinge facebook par group kaise banate hai or group se jode kuch batein bhi jaanege to chaliyeh Facebook Group Kya Hai Facebook group ek page hi hota hai jisme log join ho kar ek community banate hai Wahan par group ke har member post kar sakte hai. Kisi topic kar discussion kar sakte hai. Group me jin logon ka ek jesa interest hai woh join kar sakte hai Group me page se jo sabse alag hai wo yeh ke isme group ka koi bhi member post kar sakte hai Yeh Kuch Topic Hai jinpar ham facebook group bana sakte hai 1 Kisi bhi Topic par bana sakte hai 2 Books ke liyeh bana sakte hai, jisme uske bare me baat kar sakte hai 3 Business ke liyeh bana sakte hai 4 Apna local area ke liyeh bana sakte hai 5 Help ke liyeh bana sakte hai, jahan sab ek dusre ki help kar sake inke aalawa bhi koi bhi topic ho, aap uske liyeh group bana sakte hai... Mujhe ummid hai aap bhi jarur kisi na kisi group me add hogein, ya kisi ne aapko add kiya hoga. To chaliye jante hai Step.1 facebook me login karen Step.2 Ab aap home page me aa jayege, ke group ka option diya hai. Aap kis kis group me add hai wo dekhne ke liyeh more par click karen Step.3 Ab aapke samne group ki list aa jayegi jo aapne banayeh hai ya fir aap unme add hai apna group banane ke liyeh +create group ki ki button par click karen Step.4 Ab ek popup window khulega 1. Apne group ka naam dale jo aap banana chate hai. 2. Members me apne friends ko add karen.(abhi kam se kam ek ko add karna jaruri hai) 3. Agar group ko favirate me add karna hai to (Tik) kardein 4. Privecy me aap kesa group chate hai usko select kare. Open,closed ya secret grou kya antar hai yahan dekhe 5. Last me create ki button par click karen Step.5 Ab icon ke liyeh option aayega 1. Apne group ke liyeh icon select karen 2. Ok ki button par click karen Ab aapka group ban chuka hai, agar aapka koi or sabal hai to aap comment karke puchh sakte hai.

28 October 2015

Facebook Page Kaise Banate Hain

Aaj hum jaanege ke facebook par apna busness ke liyeh ya fir intertanment ke liye facebook page kaise banate hai. Agar aap ka koi online busness hai or aap ke page nahi hai to aap bhut badi galti kar rahe hai kiyun ke aaj ke time me agar koi asan tarika hai apne busness ko free me promote karne ka to bo facebook page hai. Issi traha dusri social networking sites bhi apke busness ko promote karti hai jese Google+page ya twitter. To chaliye jada time na barbaad karte huye apne topic par aate hai, or jaante hai facebook page kaise banate hai kin-kin Artical ki jarurat hai facebook page ke liyeh apka account phele se hona chaiyeh Kaise kya karna hai facebook page banane ke liyeh Page ko banane ke liye apko sabse phele apne facebook account me login karna padega facebook par login karne ke baad niche diyeh step ko follow karen Step.1 Apke facebook account me sidhe haath side uper kone me ek arro hoga uspar click karen fir create page par click karen Step.2 Ab jo agla page Khulega us par kuch categore hogi usme se aap ko apne page ke liyeh koi ek categore select karna padega jese aap busness ke page banana chahte hein to busness categore select karen categore select karne ke baad sari box barle fir get started par click kardein Step.3 Ab jo agle page khulega us me sub box bar ke save info par click kardein Step.4 Agle step me apne page ka profile picture select karna hoga aap chahe to yeh step skip bhi kar sakte ho or baad me apni image select kar sakte ho apka page ban choka hai age aap setting kar sakte ho, To chliyeh agle post mein melte hai...?

Facebook Account Kaise Banate Hain

Hello Doston ummid hai aap achhe hoge. Aaj me Apko bataoga ke facebook par account kaise banate hai. Aaj ki tarik me agar kisi ki facebook par account nhi ho to iska matlab bo abhi bhi purane zamane me ji raha hai. Mera maanna hai ke kuch saalo me aesa hoga ke jiska account facebook par nhi hoga usko zinda hi nahi maana jayega. Facebook kiya hai. Yeh ek social network site hai. Is par hum apna account bana kar apne doston se jude rha sakte ho. Facebook site duniya me sabse phele number par hai. Facebook 2004 me bani thi. Or ek baat yeh bilkul free hai. To chliyeh jante hai ke is par account kaise banate hai. Facebook par account banane ke liyeh kya karen Mere in step ko follow karen Step.1 Sabse phele www.facebook.com par jao Step.2 Ab registration par click karen ab box baren * Apna naam * Email * Date of birth * Sari detail bharne ke baad continue par click karen Step.3 Ab apni email id khole us par facebook se ek email aaya hoga aapke id ko verify karne ke liye. Facebook se jo email aaya hai usko khole or conformation link par click karen to aap facebook par redirect hoge. Apka facebook account teyaar hai. Kuch bhi dikkat aarai ho to comment karo me apki madad jarur karunga. Yeh to simple hamne sikha ke facebook par account kaise banate hai ab ham aage sikhe ge ke, facebook par page kaise banate hai or jaanege facebook se related bhut si jaankari. To abhi ke liyeh bas itna hi. Milte hai next post mein jabtak apna khayal rakhein or internet ke baremein sikhte rahe Agar kohi bi problem ho to comment me pochh sakhte ho....?

Bottom Ad (728x90)