2 November 2015

3G aur 4G Networks kya hai?

Agar aap mobile kharidne jate hai ‘3G’ aur ‘4G’ mobile jaroor dikhte hai, lekin aap jaise jadatar logo ko pata nahi hai ki inme farak kya hai. Chaliye jaante hai. G kya hai? ‘G’ ka matlab hai Generation (jise hum Hindi me Peedhi kehte hai). Generation apke mobile par konse level ka network hai use darshati hai. Jitna naya ‘G’ hoga utna hi Fast apne mobile par internet chal sakta hai. Lekin kayi log ye ‘G’ ke chakkar me padhkar mehnga mobile kharid lete hai. Mobile kharidne se pehle dekhe ki aapki jaroorat kitni hai, aur aapke area me us Generation ka signal bhi aata hai ya nahi. Chaliye ek ek karke India me uplabdh hum saari Generations ke baare me jaante hai. 1G Networks Kya 1G ?? kabhi suna hai 1G ke baare mai? Sunege kaise kyoki aksar TV par wahi baate batai jati hai jo bikti hai. Abhi sab log ‘4G 4G’ isliye kar rahe hai, ki wo companio ko logo ki jeb se jada paise nikalne me help karta hai. Apne main mudde par aate hai, 1G kya hai. 1G Network sabse pehla cellular network system mana jata hai. Ye network sirf Voice calls ke liye banaya gaya tha. (1G signal Analog the Agar aap signals ke baare me kuch jaante hai to samajh aa gaya hoga) 2G Networks 2G pehle digital cellular system hai, jisme ki behtar quality ki awaj jati hai, aur ye 1G se jada surakshit bhi hai. 2G ko hi hum GSM, CDMA bolte hai (aapke mobile ke box par kayi likha hoga GSM). Is Network ka use abhi bhi jaadatar mobile networks me hota hai. Aage Padhe: 1. 5 Trike best Headlin es likhne ke . 2. Accha Email kaise likhte hai ? 2.5G Networks Hahaye shayad aapke liye naya hoga! 2.5 G network 2G ka naya version hai. Iski speed lagbhag 144kbit/s hoti hai. 2.5G ko hum GPRS kehte hai. Jab hum aam 2G internet ki baat karte hai to is 2.5G ke bare me hi keh rahe hote hai. 3G Networks 3G ko hum “3rd generation” bhi kehte hai. Ye network high speed internet chalane ke liye kaam aata hai. 3G network aapko lagbhag poore India me mil jayega. 3G Network ke dwara aap bina kisi problem ke apne mobile me teji se data download kar sakte ho. 3G ko hum mobile broadband bhi keh sakte hai, kyoki iski speed broadband ki tarha kafi acchi hoti hai. 4G Network kya hai 4G ka matlab “4th generation” ye network sach mai bohot fast hai, India ke bade sehro mai 4G teji se fel raha hai. 4G 3G se kahi guna tej hai. Aur 4G ka ek aur roop ata hai 4G LTE (Long Term Evolution) jiske ki hum asli 4G keh sakte hai aur 4G LTE ki speed 3G se lagbhag 10 guna jada hoti hai. Konsa Mobile le 3G ya 4G 4G ke saath 2 problem hai ki ye abhi India ke har seher me uplabdh nahi hai. Is poori tarha se Hindustan me aane me kuch samye lag sakta hai. Aur doosri problem ye hai ki 4G support karne wale mobile abhi mehnge hai. Agar aap budjet par ho to abhi aapko 4G mobile ki jaroorat nahi hai, abhi aapke liye 3G hi kaafi hai. Aur agar aap aise sehar me rehte hai jaha 4G network na ho to 4G mobile ka koi fayda nahi hoga. 12-15 mahine me sabhi mobile purane hojate hai to abhi wahi mobile kharide jo aapke budget mai ho. Agar aapke kuch sawaal hai to neeche comment kare. Aur agar aap apne dosto ko bhi batana cahte hai mobile networks ke baare mai to is article ko












Facebook par jaroor share kare.

No comments:

Post a Comment

Bottom Ad (728x90)