2 November 2015

3G aur 4G Networks kya hai?

Agar aap mobile kharidne jate hai ‘3G’ aur ‘4G’ mobile jaroor dikhte hai, lekin aap jaise jadatar logo ko pata nahi hai ki inme farak kya hai. Chaliye jaante hai. G kya hai? ‘G’ ka matlab hai Generation (jise hum Hindi me Peedhi kehte hai). Generation apke mobile par konse level ka network hai use darshati hai. Jitna naya ‘G’ hoga utna hi Fast apne mobile par internet chal sakta hai. Lekin kayi log ye ‘G’ ke chakkar me padhkar mehnga mobile kharid lete hai. Mobile kharidne se pehle dekhe ki aapki jaroorat kitni hai, aur aapke area me us Generation ka signal bhi aata hai ya nahi. Chaliye ek ek karke India me uplabdh hum saari Generations ke baare me jaante hai. 1G Networks Kya 1G ?? kabhi suna hai 1G ke baare mai? Sunege kaise kyoki aksar TV par wahi baate batai jati hai jo bikti hai. Abhi sab log ‘4G 4G’ isliye kar rahe hai, ki wo companio ko logo ki jeb se jada paise nikalne me help karta hai. Apne main mudde par aate hai, 1G kya hai. 1G Network sabse pehla cellular network system mana jata hai. Ye network sirf Voice calls ke liye banaya gaya tha. (1G signal Analog the Agar aap signals ke baare me kuch jaante hai to samajh aa gaya hoga) 2G Networks 2G pehle digital cellular system hai, jisme ki behtar quality ki awaj jati hai, aur ye 1G se jada surakshit bhi hai. 2G ko hi hum GSM, CDMA bolte hai (aapke mobile ke box par kayi likha hoga GSM). Is Network ka use abhi bhi jaadatar mobile networks me hota hai. Aage Padhe: 1. 5 Trike best Headlin es likhne ke . 2. Accha Email kaise likhte hai ? 2.5G Networks Hahaye shayad aapke liye naya hoga! 2.5 G network 2G ka naya version hai. Iski speed lagbhag 144kbit/s hoti hai. 2.5G ko hum GPRS kehte hai. Jab hum aam 2G internet ki baat karte hai to is 2.5G ke bare me hi keh rahe hote hai. 3G Networks 3G ko hum “3rd generation” bhi kehte hai. Ye network high speed internet chalane ke liye kaam aata hai. 3G network aapko lagbhag poore India me mil jayega. 3G Network ke dwara aap bina kisi problem ke apne mobile me teji se data download kar sakte ho. 3G ko hum mobile broadband bhi keh sakte hai, kyoki iski speed broadband ki tarha kafi acchi hoti hai. 4G Network kya hai 4G ka matlab “4th generation” ye network sach mai bohot fast hai, India ke bade sehro mai 4G teji se fel raha hai. 4G 3G se kahi guna tej hai. Aur 4G ka ek aur roop ata hai 4G LTE (Long Term Evolution) jiske ki hum asli 4G keh sakte hai aur 4G LTE ki speed 3G se lagbhag 10 guna jada hoti hai. Konsa Mobile le 3G ya 4G 4G ke saath 2 problem hai ki ye abhi India ke har seher me uplabdh nahi hai. Is poori tarha se Hindustan me aane me kuch samye lag sakta hai. Aur doosri problem ye hai ki 4G support karne wale mobile abhi mehnge hai. Agar aap budjet par ho to abhi aapko 4G mobile ki jaroorat nahi hai, abhi aapke liye 3G hi kaafi hai. Aur agar aap aise sehar me rehte hai jaha 4G network na ho to 4G mobile ka koi fayda nahi hoga. 12-15 mahine me sabhi mobile purane hojate hai to abhi wahi mobile kharide jo aapke budget mai ho. Agar aapke kuch sawaal hai to neeche comment kare. Aur agar aap apne dosto ko bhi batana cahte hai mobile networks ke baare mai to is article ko












Facebook par jaroor share kare.

Facebook ka Password Bhul Gaye? Janiye kaise reset kare!

Agar aap apni Facebook Id ka password bhool gaye hai ya aapki Facebook Id ka password kho gaya hai to tension mat ligiye, aap apni Facebook Id ka password bohot aasani se reset (dobara se set) kar sakte hai. Facebook Id Password Kaise Dhunde ? Facebook Id password dhundna bohot hi aasaan hai. Sabse pehle Facebook.c omkhole, Facebook ke login form ke neeche “Forgot your password?” (“kya aap apna password bhool gaye hai?”) par click kare. Agle page par Facebook aapke Facebook Id, Email ya account se juda hua number daalne ko kahega. Humne apna Email dala aur Search par click kar diya. Search click karte hi Facebook aapse poochega ki naya password lagane ke liye wo kaha par Code bheje? To code mangwane ke do tarike hai. Ya aap apne Email par mangwa sakte hai aur ya aap code apne Facebook se jude Mobile number par mangwa sakte hai. Code Email Par Kaise Mangwae Agar aap code Email par mangwana cahte hai to Email Id wala option select kare aur continue par click kare. Continue karte hi Facebook apko apki email id par code bhejdega. Aap ye code apne Gmail account me login karke dekh sakte hai. Is code ko aap note karke code wale page par daal (paste) de. Code Mobile Par Kaise Mangwae Mobile par code mangwane ke liye Mobile wala option select kare. aur apke mobile par code ke sath Facebook ek message bhej dega. Continue par click karte hi aapke mobile par ek message aajega. Mobile par received message ko agle page par dale. Ab aapne Email ya Mobile Number ki help se apna code daal diya hai, Is code ko dalne ke baadContinuepar click kare. Is page par Facebook aapse naya password dalne ko kahega: 1.Apni Facebook Id ke liye naya password dale 2.Dubara se wahi password dale 3.Continue par click kare Continue par click karte hi apke Facebook aapki Id par naya Password laga dega. Ab aapka naya password lag gaya hai, kripya karke is password ko mat bhoolna. Bar bar password reset karne se Facebook apki Id bhi Block kar sakta hai. Ye article pasand aya to neeche diye gaye box mai comment kare.

Gmail/Google Account Kaise Delete Kare!

Aapki Sabhi services Gmail se lekar YouTube Google account ka istemaal karti hai, hum kabhi kabhi ise Gmail account kehte hai lekin asal me ye Google account ki ID hoti hai jisse hum Gmail chalate hai. Agar aapne seekhte seekthe kayi sare Google accounts bana liye hai, ya aap Google account kisi wajha se delete karna cahte hai to mai is article mai aapko sikhauga ki ye sab kaise karna hai. Google Account Delete Karne ke Steps: 1. Sabse pehle Google Account (accounts.g oogle.com) ki link mai jakar login karo. 2. Aapke samne ek page khulega jisme ki ek box mai Sign-in & Security likha hoga, us box par click karo. 3. Left me ek menu bana hoga, uss menu me se “Delete your account or services” par click karo 4. Is page me apna Google account poori tarha se Delete karne ke liyeDelete Google Accountpar click kare 5. Ab Google aapko kahega ki “Ye account ek baar Delete hone ke baad dobara kabhi wapas nahi khulega. Aap is account ka sara Data download karke rakh sakte hai”. Agar aap apne account ka data download karna cahte hai todownload your datapar click kare, aur apna data download karle. 6. Is page par neecha aapko Google ki kuch conditions ko check karna hoga. Conditions check karne ke baad DELETE ACCOUNT button par click kare. Click karte hi aapka Google account hamesha ke liye Delete hojaega.

Facebook ka Password Kaise Change Kare!

Agar apke Facebook ka password kisi ko pata chal gaya hai aur aapko darr hai ki wo vyakti aapke Facebook account me login kar saktha hai to dariye nahi. Is article hum seekhege ki Facebook ka password kaise badalte hai. Facebook ka password kaise badle Sabse pehle apni Facebook me login kare. Aur upar top right corner me down arrow par click kare aur waha se settings select kare. Setting par click karne ke baad jo page khulega usme se general setting me jakar Password par click kare. Apke same ek form bana aa jayga 1.Pehli field me apna pichla password bhare 2.Is field me apna naya (New) password bhare. Koshish kijiye apke password me numbers aur alphabets (abcd..) dono ka use hua hai. Isse password strong ban jata hai. 3.Dobara se apne naya password bhare, Jab password upar wale password se match ho jayga to neeche “passwords match” likha aa jayga. Sabhi details sahi se bharne ke baad Save Changes par click kare. Click karte hi Facebook aap se poochega, “kya aapne account ko doosre devices se logout karna cahte hai?” ya “login rehna cahte hai”. Mai yaha par pehla option select karke baki devices se logout karna cahta hun. Option select karke Submit par click kare. Submit par click karte hai aapka password change ho jayega. Agar ye article pasand aya to hamare Facebook page ko like karna mat bhooliye, Like karne se aapko naye articles ki jankari milti rahegi.

Facebook Par Kisi Ko Block Kaise Kare!

Aagar aapko koi Facebook par pareshan kar raha hai to aap us vyakti ko hamesha ke liye block kar sakte hai. Block krne ke baad na to vo vyakti apki id dekh payega, na aapki photos. Facebook me kisi ko block karna bohot hi aasaan hai. Facebook par block karne ka tarika Step 1: Privacy Setting Khole Sabse pehle to apne account melogin kare. login karne ke baad upar right corner me ek button bana hua hai jispar ek tala (lock) bana hua hai. Us button se privacy setting khulti hai. Isbutton par click kare. Step 2: Akhiri option par click kare “How do I stop someone from bothering me?”(“mai kisi ko mujhe pareshan karne se kaise roku?”)par click kare. Click karte hi ek box khul jaega. step 3: Naam dale Ab is box me aapko jisko bhi block karna hai uska naam ya email id dale. Naam dalne ke baadBlock button par click kare Step 4: Block kare Ab aapke samne ek lightbox ajayega jisme aap jisko block karna hai uske naam ke aage block button par click kar sakte hai. Ab aapko facebook batayega ki, Jisko apne block kiya hai wo apki: *.Posts nahi dekh payega *.Tag nahi kar payega *.Invite bhi nahi kar payega *.Chatting nahi kar payega *.Aapko friend request bhi nahi send kar skega Poori tarha block karne ke liye neech diya gaya Block button dabaye. Aur wo vyakti block ho jayega. Facebook par Unblock kaise kare Agar aapne maze maze me kisi ko galti se block kar diya hai to tension nahi, aap usko unblock bhi kar sakte hai. unblock karne ke liye privacysettingsmai jakar,“View all blocked users” (“Sabhi blocked logo ko dekhe”)par click kare. ab jisko bhi aap unblock karna cahte hai uske naam ke samne likhe unblock button par click karde. ab pakka karne ke liye confirm button par click kare Ab aapne seekh liya hai ki kisi ko block kaise karte hai, ab aap jise cahe use block kar sakte hai. Ek aur baat dhyan de ki kisi ko jab aap unblock karte hai to aap use unfriend bhi kar dete hai, usko dobara se apni freind list me add karne ke liye aapko fir se use friend request bhejni hogi.

Facebook par Status Update Kaise Kare!

Facebook me sabse jaada kaam me aane wala ek hi box hai, use Status update box kehte hai. Is box par likha rehta hai“What’s on your mind?”matlab “Apkne dimaag mai kya chal raha hai?”. Aap log is box mai apna koi bhi vichar, sandesh ya kuch bhi jo aap logo tak pohchana cahte hai likh sakte hai. Jaise ki agar me kabhe Delhi jata hun to apne box me likh deta hun “Kal me Delhi aa raha hun, Waha par mausam kaisa hai dosto?”. Ab mere sabhi dosto ko ye status pohch jayega aur agar koi Dost Delhi me ho to wo comment bhi kar sakta hai. Status update aapke dosto ko aapke baare me soochit rakhta hai. Status update kaise kare Box par click kare Status update karne ke liye sabse pehle “What’s on your mind?” box par click kare. Apna Status Daale Box par click karne ke baad usme apna status daale Sirf simple status update karna hai to likhkarPostbutton par click kare. Agar aap apne status update me aur bhi cheeze daalna cahte hai to padte rahiye. Status me Tag Kaise Kare? Maan ligiye aap apne dost ke sath hai to aap us dost ki Facebook id ko bhi tag kar sakte hai, Friend ko tag karne ke liye Person icon par click kare. Ek box khulega usme apne Friend ka naam dal de, itna karne se aapka friend tag ho jayega. Facebook par Check-in Kaise Kare? Aap jis jagha par khade hokar apna status update kar rahe hai, us jagha ko bhi aap apne status me daal sakte hai, isi ko check-in karna kehte hai. Agar aap apne Friend ke sath Delhi pohoch gaye hai to aap Delhi ka check-in kar sakte hai. Check-in karne ke liye Map icon par click kare, aur jagha ka naam dale. Emotions Kaise Dale? Aap Status update me apne emotions bhi daal sakte hai. Emotions ka matlab ki aapko kaise feel ho raha hai, agar aap traffic me fase hai aur gusse me hai to aap gusse wala emotion daal sakte hai, aur agar aap khush hai to khushi wala. Emotion dalne ke neeche diye gaye smiley button par click kare, aur apna emotion select kare. Status me photo kaise dale? Aap apne status update ke sath sath Photo bhi daal sakte hai, photo dalne ke liye camera icon par click kare. Windows explorer me se apni photo select karke open par click karde. Open karte hi aapki photo Status ke sath sath add/upload ho jayegi. Status ki Privacy setting kare Kabhi kabhi aap cahte hai ki aapka status har kisi ko naa jakar sirf aapke friend ko hi jaye ya dikhe, Iske liye aap down arrow wale button parclick kar sakte hai. Isme ek dropdown khul jayega jisme se aap apni privacy select kar sakte hai. Status Post Kare Ab jab aapka status poori tarha se ready ho jaye to aap update karne ke liyepost par click kare Post karte hi aapke status Facebook ki Timeline par aa jayega, aur privacy setting ke mutabik aapke dosto tak pohoch jaega. aisa dikhega aapka status update, aapke dost ispar Like, Share ya Comment kar sakte hai. 1.Like :Like button dubane se ye sabit ho jata hai ki jisne bhi ye button dabaya use ye status update pasand aaya hai 2.Share :Agar koi aapke status update ke share par click karke aapki status update ko share karta hai to iska matlab hai wo bhi yahi baat kehna cahta hai jo apne kahi 3.Comment :Aapke Friends aapki status update par comment kar sakte hai. Jaise hum asli duniya me apne dost ko kuch kehte hai, usi tarha hum yaha apne dost ko uski post ke bare me kuch keh sakte hai.

Facebook par Photos ya Album Kaise Upload Kare!

Ye baat to manni hi hogi ki hum logo ko cheeze padne se jada cheeze dekhne mai maza aata haiAapne khud hi notice kiya hoga ki Facebook par kitne share kari Photos dali jaati hai, yaha tak ki agar kuch likhna bhi hota hai to log use tasvir (photo) me likh kar Facebook me daal dete hai. Photo ka prabhav shabdo se khi jada padta hai, kyoki photos hame emotionally attach kar deti hai. Aap kayi ghumne gaye, ya apne nayi gaadi kharidi to aap apne wo lamhe Facebook par photos ke dwara apne Friends ke sath share kar sakte hai. Chalo aaj hum sekhte hai ki Facebook par Photo kaise upload karte hai. Facebook par Photo upload kare Sabse pehle apne Facebook profile page par jakar Photos parclick karo. Neeche apki Photos aa jayegi. Ab photo upload karne ke liye, Add Photos parclick kare Click karte hai aapke samnewindows explorerkhul jaega Explorer me se photo select kare aur open parclick kare Apni photo ke bare me kuch likhe, aap yaha par Tag ya Check-in bhi kar sakte hai Post par click kare,aur apke Facebook par photo upload ho jayegi. Facebook par Album Kaise Upload Kare Hamne photo dalna sikh liya, ab dekhte hai ki Album kaise dalte hai, par album dalne se pehle ye jaan le ki album hota kya hai? Album kya hai? Ek example lete hai, Manlo aap kayi ghoomne gaye, waha jakar aapne bhut sari photo click kari, ab do tarike hai sabhi photo ko Facebook par dalne ke. 1.Pehla tarika hai ki aap photos koek ek karke daale(wo humne upar seekh liya hai). 2.Doosra tarika hai ki hum sabhi photo koek sath daal de, aisa hum album banakar karte hai. Album banane se humara time bachta hai. Album banane ke liye+ Create Albumbutton parclick kare click karte hi aapke samne Windows explorer khul jayega, isme se aapne jitni bhi photos upload karni hai un sabko select karle phots select karne ke baadopenparclick kre Ab aapki sabhi photo upload honi shuru hojaegi, Aap in photos me photos ke baare me bhi likh sakte hai. Likhne ke baadUpload par click kare. Bas itna simple hai Album banana, ab aap try karke dekho. Agar koi problem aaye to neeche diye gaye comment box mai likh kar bhejo.

Bottom Ad (728x90)