Showing posts with label Social network. Show all posts
Showing posts with label Social network. Show all posts

2 November 2015

3G aur 4G Networks kya hai?

Agar aap mobile kharidne jate hai ‘3G’ aur ‘4G’ mobile jaroor dikhte hai, lekin aap jaise jadatar logo ko pata nahi hai ki inme farak kya hai. Chaliye jaante hai. G kya hai? ‘G’ ka matlab hai Generation (jise hum Hindi me Peedhi kehte hai). Generation apke mobile par konse level ka network hai use darshati hai. Jitna naya ‘G’ hoga utna hi Fast apne mobile par internet chal sakta hai. Lekin kayi log ye ‘G’ ke chakkar me padhkar mehnga mobile kharid lete hai. Mobile kharidne se pehle dekhe ki aapki jaroorat kitni hai, aur aapke area me us Generation ka signal bhi aata hai ya nahi. Chaliye ek ek karke India me uplabdh hum saari Generations ke baare me jaante hai. 1G Networks Kya 1G ?? kabhi suna hai 1G ke baare mai? Sunege kaise kyoki aksar TV par wahi baate batai jati hai jo bikti hai. Abhi sab log ‘4G 4G’ isliye kar rahe hai, ki wo companio ko logo ki jeb se jada paise nikalne me help karta hai. Apne main mudde par aate hai, 1G kya hai. 1G Network sabse pehla cellular network system mana jata hai. Ye network sirf Voice calls ke liye banaya gaya tha. (1G signal Analog the Agar aap signals ke baare me kuch jaante hai to samajh aa gaya hoga) 2G Networks 2G pehle digital cellular system hai, jisme ki behtar quality ki awaj jati hai, aur ye 1G se jada surakshit bhi hai. 2G ko hi hum GSM, CDMA bolte hai (aapke mobile ke box par kayi likha hoga GSM). Is Network ka use abhi bhi jaadatar mobile networks me hota hai. Aage Padhe: 1. 5 Trike best Headlin es likhne ke . 2. Accha Email kaise likhte hai ? 2.5G Networks Hahaye shayad aapke liye naya hoga! 2.5 G network 2G ka naya version hai. Iski speed lagbhag 144kbit/s hoti hai. 2.5G ko hum GPRS kehte hai. Jab hum aam 2G internet ki baat karte hai to is 2.5G ke bare me hi keh rahe hote hai. 3G Networks 3G ko hum “3rd generation” bhi kehte hai. Ye network high speed internet chalane ke liye kaam aata hai. 3G network aapko lagbhag poore India me mil jayega. 3G Network ke dwara aap bina kisi problem ke apne mobile me teji se data download kar sakte ho. 3G ko hum mobile broadband bhi keh sakte hai, kyoki iski speed broadband ki tarha kafi acchi hoti hai. 4G Network kya hai 4G ka matlab “4th generation” ye network sach mai bohot fast hai, India ke bade sehro mai 4G teji se fel raha hai. 4G 3G se kahi guna tej hai. Aur 4G ka ek aur roop ata hai 4G LTE (Long Term Evolution) jiske ki hum asli 4G keh sakte hai aur 4G LTE ki speed 3G se lagbhag 10 guna jada hoti hai. Konsa Mobile le 3G ya 4G 4G ke saath 2 problem hai ki ye abhi India ke har seher me uplabdh nahi hai. Is poori tarha se Hindustan me aane me kuch samye lag sakta hai. Aur doosri problem ye hai ki 4G support karne wale mobile abhi mehnge hai. Agar aap budjet par ho to abhi aapko 4G mobile ki jaroorat nahi hai, abhi aapke liye 3G hi kaafi hai. Aur agar aap aise sehar me rehte hai jaha 4G network na ho to 4G mobile ka koi fayda nahi hoga. 12-15 mahine me sabhi mobile purane hojate hai to abhi wahi mobile kharide jo aapke budget mai ho. Agar aapke kuch sawaal hai to neeche comment kare. Aur agar aap apne dosto ko bhi batana cahte hai mobile networks ke baare mai to is article ko












Facebook par jaroor share kare.

Facebook ka Password Bhul Gaye? Janiye kaise reset kare!

Agar aap apni Facebook Id ka password bhool gaye hai ya aapki Facebook Id ka password kho gaya hai to tension mat ligiye, aap apni Facebook Id ka password bohot aasani se reset (dobara se set) kar sakte hai. Facebook Id Password Kaise Dhunde ? Facebook Id password dhundna bohot hi aasaan hai. Sabse pehle Facebook.c omkhole, Facebook ke login form ke neeche “Forgot your password?” (“kya aap apna password bhool gaye hai?”) par click kare. Agle page par Facebook aapke Facebook Id, Email ya account se juda hua number daalne ko kahega. Humne apna Email dala aur Search par click kar diya. Search click karte hi Facebook aapse poochega ki naya password lagane ke liye wo kaha par Code bheje? To code mangwane ke do tarike hai. Ya aap apne Email par mangwa sakte hai aur ya aap code apne Facebook se jude Mobile number par mangwa sakte hai. Code Email Par Kaise Mangwae Agar aap code Email par mangwana cahte hai to Email Id wala option select kare aur continue par click kare. Continue karte hi Facebook apko apki email id par code bhejdega. Aap ye code apne Gmail account me login karke dekh sakte hai. Is code ko aap note karke code wale page par daal (paste) de. Code Mobile Par Kaise Mangwae Mobile par code mangwane ke liye Mobile wala option select kare. aur apke mobile par code ke sath Facebook ek message bhej dega. Continue par click karte hi aapke mobile par ek message aajega. Mobile par received message ko agle page par dale. Ab aapne Email ya Mobile Number ki help se apna code daal diya hai, Is code ko dalne ke baadContinuepar click kare. Is page par Facebook aapse naya password dalne ko kahega: 1.Apni Facebook Id ke liye naya password dale 2.Dubara se wahi password dale 3.Continue par click kare Continue par click karte hi apke Facebook aapki Id par naya Password laga dega. Ab aapka naya password lag gaya hai, kripya karke is password ko mat bhoolna. Bar bar password reset karne se Facebook apki Id bhi Block kar sakta hai. Ye article pasand aya to neeche diye gaye box mai comment kare.

Gmail/Google Account Kaise Delete Kare!

Aapki Sabhi services Gmail se lekar YouTube Google account ka istemaal karti hai, hum kabhi kabhi ise Gmail account kehte hai lekin asal me ye Google account ki ID hoti hai jisse hum Gmail chalate hai. Agar aapne seekhte seekthe kayi sare Google accounts bana liye hai, ya aap Google account kisi wajha se delete karna cahte hai to mai is article mai aapko sikhauga ki ye sab kaise karna hai. Google Account Delete Karne ke Steps: 1. Sabse pehle Google Account (accounts.g oogle.com) ki link mai jakar login karo. 2. Aapke samne ek page khulega jisme ki ek box mai Sign-in & Security likha hoga, us box par click karo. 3. Left me ek menu bana hoga, uss menu me se “Delete your account or services” par click karo 4. Is page me apna Google account poori tarha se Delete karne ke liyeDelete Google Accountpar click kare 5. Ab Google aapko kahega ki “Ye account ek baar Delete hone ke baad dobara kabhi wapas nahi khulega. Aap is account ka sara Data download karke rakh sakte hai”. Agar aap apne account ka data download karna cahte hai todownload your datapar click kare, aur apna data download karle. 6. Is page par neecha aapko Google ki kuch conditions ko check karna hoga. Conditions check karne ke baad DELETE ACCOUNT button par click kare. Click karte hi aapka Google account hamesha ke liye Delete hojaega.

Facebook ka Password Kaise Change Kare!

Agar apke Facebook ka password kisi ko pata chal gaya hai aur aapko darr hai ki wo vyakti aapke Facebook account me login kar saktha hai to dariye nahi. Is article hum seekhege ki Facebook ka password kaise badalte hai. Facebook ka password kaise badle Sabse pehle apni Facebook me login kare. Aur upar top right corner me down arrow par click kare aur waha se settings select kare. Setting par click karne ke baad jo page khulega usme se general setting me jakar Password par click kare. Apke same ek form bana aa jayga 1.Pehli field me apna pichla password bhare 2.Is field me apna naya (New) password bhare. Koshish kijiye apke password me numbers aur alphabets (abcd..) dono ka use hua hai. Isse password strong ban jata hai. 3.Dobara se apne naya password bhare, Jab password upar wale password se match ho jayga to neeche “passwords match” likha aa jayga. Sabhi details sahi se bharne ke baad Save Changes par click kare. Click karte hi Facebook aap se poochega, “kya aapne account ko doosre devices se logout karna cahte hai?” ya “login rehna cahte hai”. Mai yaha par pehla option select karke baki devices se logout karna cahta hun. Option select karke Submit par click kare. Submit par click karte hai aapka password change ho jayega. Agar ye article pasand aya to hamare Facebook page ko like karna mat bhooliye, Like karne se aapko naye articles ki jankari milti rahegi.

Facebook Par Kisi Ko Block Kaise Kare!

Aagar aapko koi Facebook par pareshan kar raha hai to aap us vyakti ko hamesha ke liye block kar sakte hai. Block krne ke baad na to vo vyakti apki id dekh payega, na aapki photos. Facebook me kisi ko block karna bohot hi aasaan hai. Facebook par block karne ka tarika Step 1: Privacy Setting Khole Sabse pehle to apne account melogin kare. login karne ke baad upar right corner me ek button bana hua hai jispar ek tala (lock) bana hua hai. Us button se privacy setting khulti hai. Isbutton par click kare. Step 2: Akhiri option par click kare “How do I stop someone from bothering me?”(“mai kisi ko mujhe pareshan karne se kaise roku?”)par click kare. Click karte hi ek box khul jaega. step 3: Naam dale Ab is box me aapko jisko bhi block karna hai uska naam ya email id dale. Naam dalne ke baadBlock button par click kare Step 4: Block kare Ab aapke samne ek lightbox ajayega jisme aap jisko block karna hai uske naam ke aage block button par click kar sakte hai. Ab aapko facebook batayega ki, Jisko apne block kiya hai wo apki: *.Posts nahi dekh payega *.Tag nahi kar payega *.Invite bhi nahi kar payega *.Chatting nahi kar payega *.Aapko friend request bhi nahi send kar skega Poori tarha block karne ke liye neech diya gaya Block button dabaye. Aur wo vyakti block ho jayega. Facebook par Unblock kaise kare Agar aapne maze maze me kisi ko galti se block kar diya hai to tension nahi, aap usko unblock bhi kar sakte hai. unblock karne ke liye privacysettingsmai jakar,“View all blocked users” (“Sabhi blocked logo ko dekhe”)par click kare. ab jisko bhi aap unblock karna cahte hai uske naam ke samne likhe unblock button par click karde. ab pakka karne ke liye confirm button par click kare Ab aapne seekh liya hai ki kisi ko block kaise karte hai, ab aap jise cahe use block kar sakte hai. Ek aur baat dhyan de ki kisi ko jab aap unblock karte hai to aap use unfriend bhi kar dete hai, usko dobara se apni freind list me add karne ke liye aapko fir se use friend request bhejni hogi.

Facebook par Status Update Kaise Kare!

Facebook me sabse jaada kaam me aane wala ek hi box hai, use Status update box kehte hai. Is box par likha rehta hai“What’s on your mind?”matlab “Apkne dimaag mai kya chal raha hai?”. Aap log is box mai apna koi bhi vichar, sandesh ya kuch bhi jo aap logo tak pohchana cahte hai likh sakte hai. Jaise ki agar me kabhe Delhi jata hun to apne box me likh deta hun “Kal me Delhi aa raha hun, Waha par mausam kaisa hai dosto?”. Ab mere sabhi dosto ko ye status pohch jayega aur agar koi Dost Delhi me ho to wo comment bhi kar sakta hai. Status update aapke dosto ko aapke baare me soochit rakhta hai. Status update kaise kare Box par click kare Status update karne ke liye sabse pehle “What’s on your mind?” box par click kare. Apna Status Daale Box par click karne ke baad usme apna status daale Sirf simple status update karna hai to likhkarPostbutton par click kare. Agar aap apne status update me aur bhi cheeze daalna cahte hai to padte rahiye. Status me Tag Kaise Kare? Maan ligiye aap apne dost ke sath hai to aap us dost ki Facebook id ko bhi tag kar sakte hai, Friend ko tag karne ke liye Person icon par click kare. Ek box khulega usme apne Friend ka naam dal de, itna karne se aapka friend tag ho jayega. Facebook par Check-in Kaise Kare? Aap jis jagha par khade hokar apna status update kar rahe hai, us jagha ko bhi aap apne status me daal sakte hai, isi ko check-in karna kehte hai. Agar aap apne Friend ke sath Delhi pohoch gaye hai to aap Delhi ka check-in kar sakte hai. Check-in karne ke liye Map icon par click kare, aur jagha ka naam dale. Emotions Kaise Dale? Aap Status update me apne emotions bhi daal sakte hai. Emotions ka matlab ki aapko kaise feel ho raha hai, agar aap traffic me fase hai aur gusse me hai to aap gusse wala emotion daal sakte hai, aur agar aap khush hai to khushi wala. Emotion dalne ke neeche diye gaye smiley button par click kare, aur apna emotion select kare. Status me photo kaise dale? Aap apne status update ke sath sath Photo bhi daal sakte hai, photo dalne ke liye camera icon par click kare. Windows explorer me se apni photo select karke open par click karde. Open karte hi aapki photo Status ke sath sath add/upload ho jayegi. Status ki Privacy setting kare Kabhi kabhi aap cahte hai ki aapka status har kisi ko naa jakar sirf aapke friend ko hi jaye ya dikhe, Iske liye aap down arrow wale button parclick kar sakte hai. Isme ek dropdown khul jayega jisme se aap apni privacy select kar sakte hai. Status Post Kare Ab jab aapka status poori tarha se ready ho jaye to aap update karne ke liyepost par click kare Post karte hi aapke status Facebook ki Timeline par aa jayega, aur privacy setting ke mutabik aapke dosto tak pohoch jaega. aisa dikhega aapka status update, aapke dost ispar Like, Share ya Comment kar sakte hai. 1.Like :Like button dubane se ye sabit ho jata hai ki jisne bhi ye button dabaya use ye status update pasand aaya hai 2.Share :Agar koi aapke status update ke share par click karke aapki status update ko share karta hai to iska matlab hai wo bhi yahi baat kehna cahta hai jo apne kahi 3.Comment :Aapke Friends aapki status update par comment kar sakte hai. Jaise hum asli duniya me apne dost ko kuch kehte hai, usi tarha hum yaha apne dost ko uski post ke bare me kuch keh sakte hai.

Facebook par Photos ya Album Kaise Upload Kare!

Ye baat to manni hi hogi ki hum logo ko cheeze padne se jada cheeze dekhne mai maza aata haiAapne khud hi notice kiya hoga ki Facebook par kitne share kari Photos dali jaati hai, yaha tak ki agar kuch likhna bhi hota hai to log use tasvir (photo) me likh kar Facebook me daal dete hai. Photo ka prabhav shabdo se khi jada padta hai, kyoki photos hame emotionally attach kar deti hai. Aap kayi ghumne gaye, ya apne nayi gaadi kharidi to aap apne wo lamhe Facebook par photos ke dwara apne Friends ke sath share kar sakte hai. Chalo aaj hum sekhte hai ki Facebook par Photo kaise upload karte hai. Facebook par Photo upload kare Sabse pehle apne Facebook profile page par jakar Photos parclick karo. Neeche apki Photos aa jayegi. Ab photo upload karne ke liye, Add Photos parclick kare Click karte hai aapke samnewindows explorerkhul jaega Explorer me se photo select kare aur open parclick kare Apni photo ke bare me kuch likhe, aap yaha par Tag ya Check-in bhi kar sakte hai Post par click kare,aur apke Facebook par photo upload ho jayegi. Facebook par Album Kaise Upload Kare Hamne photo dalna sikh liya, ab dekhte hai ki Album kaise dalte hai, par album dalne se pehle ye jaan le ki album hota kya hai? Album kya hai? Ek example lete hai, Manlo aap kayi ghoomne gaye, waha jakar aapne bhut sari photo click kari, ab do tarike hai sabhi photo ko Facebook par dalne ke. 1.Pehla tarika hai ki aap photos koek ek karke daale(wo humne upar seekh liya hai). 2.Doosra tarika hai ki hum sabhi photo koek sath daal de, aisa hum album banakar karte hai. Album banane se humara time bachta hai. Album banane ke liye+ Create Albumbutton parclick kare click karte hi aapke samne Windows explorer khul jayega, isme se aapne jitni bhi photos upload karni hai un sabko select karle phots select karne ke baadopenparclick kre Ab aapki sabhi photo upload honi shuru hojaegi, Aap in photos me photos ke baare me bhi likh sakte hai. Likhne ke baadUpload par click kare. Bas itna simple hai Album banana, ab aap try karke dekho. Agar koi problem aaye to neeche diye gaye comment box mai likh kar bhejo.

Facebook Page Kaise Delete Kare

Facebook page ko delete karna bohot simple hai, par ek baar page delete ho jaye to wapas nahi aa sakta. Ek aur tarika hai ki aap apne page ko unpublish kar sakte hai, isse aapka page logo ko dikhega nahi aur delete bhi nahi hoga. Aap jab bhi chaho apne page ko wapas publish kar sakte hai. Is article me mai apko page delete karna bhi sikhaunga aur unpublish karna bhi. Facebook page me login kare Kuch bhi karne se pehle hme Facebook page par loginkarna hoga. Login karne ke liye upar right corner me down arrow parclick kare. Dropdown me seManage Pagespar click kare aapke sabhi pages ki list khul jayegi, jis bhi page me aap login karna cahte hai us page ke age likheLogin button par click kare. Ab aap apne Facebook page mai login ho chuke hai. Upar likheSettingsbutton parclick kare Setting page se hum apne Facebook page ko unpublish ya delete kar sakte hai. Facebook page ko un-publish kaise kare? Agar aap apne page ko kuch samye ke liye band karna cahte hai to aap page ko unpublish kar sakte hai. Unpublish karne ke liye: 1.Page Visibilityoption parclick kare 2.Unpublish Page checkbox parclick kare 3.Save Changes kar de Aisa karne ke baad apka Facebook page unpublish ho jayega Facebook page ko hamesha ke liye Delete kaise kare? Facebook page ko hamesh ke liye delete karne ke liye neeche diye gaye Remove Page option ke aage like “Permanently delete PAGE KA NAAM” parclick kare. Deletebutton parclick kare, aur aapka page hamesha ke liye delete ho jayega. Agar apke pass faltu ke Facebook page bane hue hai to aap unko upar diye gaye tariko se Delete kar sakte hai. Agar apko Facebook se sambandhit koi bhi jankari cahiye to hume apna sujhav neeche diye gaye comment box me bheje.

Facebook Par Cover Photo Kaise Lagaye

Agar aap Facebook par naye hai to apko shayad Facebook cover photo ke bare me na pata ho. Aapko apni Facebook profile ko aur jada akarshak(attractive) banae ke liye usme cover photo lagni cahiye. Ye cover photo apki personality to darshane ke kaam aayegi, jisse ki apke friends ko apke bare me janne ka aur jada moka milega. Aapki profile picture aur apki cover photo do cheeze hai jo apki profile par aane wala vyakti sabse pehle dekhta hai. Log jadatar yha par aisi images lagate hai jise wo sabse jada pasand karte hai. Is article me mai apko batauga ki Facebook par cover image kaise lagate hai. 1. Apni Facebook profile par jaiye 2. Camera icon par click kare Profile page kholne ke baad cover image par banecamera icon ko click kare click karte hi ekdropdown menukhul jaega, agar aap nai photo dalna cahte hai to usme seUpload Photo par click kare Aage Padhe: 1. Facebo ok par Profile Picture kaise change krte hai ? 2. Sarkari naukari ke results dekhne ke liye best website s ? 3. Photo Select kare Image upload par click karte hi windows explorer khul jayega, jisme se aap apni parsand ki photo ko select karkeopenparclick kare. open karte hi cover image upload hona shuru ho jayegi 4. Cover image Save kare Image upload hone ke baad cover image to drag karke uski position set kar aur finally Save Changesparclick karde Agar aap dubara se cover image ko change karna cahte hai to phir se inhi simple step ko follow kare. Agar aapko ye article pasand aya to neeche diye gae comment box me apne sujhav jaroor bheje. Iss article ko padne ke liye. Thank You

Skype id Kaise Banaye!

Aap me se kayi logo ne Skype ke baare me suna hoga, aur bohot se log ye janna cahte hai ki Skype kya cheez hai aur iska kya use hai. Chalo pehle jaante hai ki…. Skype Kya Hai? Skype ek software hai jiske dwara aap free me audio ya video calling kar sakte hai. Skype phone par bhi chalta hai to iska matlab hai ki hum apne mobile par bhi skype chala sakte hai, aur dunia ke kisi bhi kone me bethe kisi bhi vyakti se jud sakte hai. Aap skype dwara chat bhi kar sakte hai. Skype ki khass baat ye hai ki Skype video aur audio calling me specialize karta hai, se best software hai video audio calls karne ke liye. Skype ko kuch samaye pehle Microsoft ne kharid liya tha jisse ki iski position aur quality market me aur behtar ho gayi hai. Wikipediake anusaar Skype 2014 me lagbhag 40% log International calling ke liye Skype ka upyog karte hai. Iska ye kaaran ho sakta hai ki ISD calls bohot mehngi hai, aur skype dwara aap mobile ya landline par call bohot sasti hoti hai, leking skype to skype call bikul free hai. 2014 me India me Skype to mobile aur landline feature hata diya hai. Lekin aap Skype-to-Skype calls ya International mobile and landline calls abhi bhi kar sakte hai. Skype application computer aur mobile dono ke liye uplabdh hai, to chaliyeaaj hum is article me Skype ko download karna seekhte hai. Skype kaise download kare Skype download karne ke liye www.skype .compar jaye ab upar menu me se Sign In par click kare. Ab ek login form aajaye ga. Kyoki abhi hamare pass login id nahi hai to abhi ke liye hum Create new accountpar click karege Ab agle page par ek form aajaega jisko bharkar hum apni Skype id bana sakte hai. Sabse pehle apnaNaamaurEmailbhare Aage Padhe: 1. Skype ID kaise chalaye ? 2. Facebo ok Develo per kaise bane ? Ab apni baaki ki details bhare. Skype Nameme aapki Skype id aajyegi. Is ID par hi log aapse contact kar sakte hai. Aapki Id sabse alag honi cahiye, agar aapke naam ki id uplabdh na ho to aap Naam ke sath kuch number lagakar bhi try kar sakte hai. Skype Name likhne ke baad apna Password bhare. Ab neeche diye gaye box me photo me jo bhi likha hai use dekhkar bharde, aurI agree – Continuepar click kare. Aapki Skype ID ready hai, ab hum Download Skype par click karke apne computer me skype kar software daal sakte hai. DownloadSkype for Windows parclick kare. Ab download kiya huaSkype setup khole Apni bhasha select karke “I agree – next” par click kare. Continuepar click kare Ab aapka Skype download hona shuru ho jayega. Download hone me 5-10min lag sakte hai, ye aapke Internet ki speed par nirbhar karta hai. Skype download hote hi aapke saamne ek Login form bana aajayga. Is login from me aap apnaSkype ki ID , password daale, aurSign inpar click karde. AbYespar click kare Continuepar click kare Ab Skype aapse apni ID ke liye profile picture lagane ko bolega, picture lagane ke liyeBrowserpar click kare apni picture select karkeOpenpar click kare. Apne picture adjust karkeUse this picturepar click kare Aapki Skype picture lag chuki hai, aap “Start using Skype” par click karke shuru kar sakte hai. Aapka Skype ab ready hai. Skype me Sign Out karne ke liye aap uparSkype > Sign Outpar click kare. Ab mai cahata hun ki aap abhi ke abhi skype downlaod kare, aur usme account banakar Sign In kare, Kyoki ane waale articles me hum aapko Skype ka use karna sikhayege. Thank you

1 November 2015

Facebook Delete Ya Deactivate Kaise Kare

Facebook par is samay140 crorelog hai par har koi Facebook se khush nahi hai. Aap me se kayi sare log aise honge jinko Facebook ki aadat pad gayi hai, ya aapko Facebook me itni sari notifications aati hai, jobhi baat hai aap ab bas Facebook account ko band karna cahte hai. To Facebook se chutkara(छुटकारा) kaise paye. Apke paas do tarike hai, ya aap apne account ko deactivate kar sakte hai aur ya aap apne account ko delete kar sakte hai. Facebook account delete karne se pehle me aapko batauga ki account ko deactivate kaise karna hai. Facebook account deactivate kaise kare? Deactivate karne ka matlab hai ki aap Facebook account thode dino ke liye chod rahe hai aur aap Dubara bhi Apna account activate kar sakte hai. Deactivate karne ke baad apki Facebook profile aur jo bhi apne aaj tak activities ki hai wo sab Facebook se hat jayegi. Facebook apke data ko sambhal ke rakhega, aap jab cahe apne account ko reactivate kar sakte hai. Account ko deactivate karne ke liye apne Facebook profile me login kare. Upar right corner me se downward arrow par click kare. Ismese settings par click kare. Left side me security likha hoga uspar click kare Agle page par Deactivate Account par click kare Dobara se Deactivate your account link par click kare Ab is page me Facebook account delete karne ka karan poochega, karan select kare. Maine “I spend too much time using Facebook”ko choose kiya hai, iska matlab hai“Mai Facebook par bohot jada time laga raha hun”. Karan select karte samye Facebook apko rokne ki koshish karega par aap cancel par click karde. Karan select karne ke baad Deactivate button par click kare. Notice: Agar aapke account se Facebook group ya page juda hai, to account deactivate karne ke sath sath ya bhi band ho sakte hai. To behtar hoga ki account deactivate karne se pehle kisi aur ko apne Facebook page ya group ka admin bana de. Deactivate button par click karte hi aapka account deactivate ho jayega. Facebook Account Ko Delete Kaise Karte Hai? Account delete karne ke baad aapka Facebook account hamesha ke liye band ho jayega. Aap deleted account ko dubara se activate nahi kar sakte, aapko agli bar naya account hi bana padega. Notice:Facebook account delete karne se pehle aap apne Facebook ka poora data download kar sakte hai. Facebook account ka data download karne ke liye dubara se settings me jaye, (down arrow select karke). General settings ke andar download data ka option hoga, uspar click kare. Start My Archive par click kare, isse Facebook aapke liye ek download file banadega. Page refresh kare aur apke samne Download Archive ka button bana aajayega, Is buttom par click kare aur apne data download kare. Ab account delete karne ke liye Facebook koi seedha option nahi deta. Par account delete karne ke liye aap apni facebook id ko login rakh kar is link par jaye. https://ww w.facebook .com /help/delet e_account ek page khulega jime Delete My Account ka button bana hoga. Is button ko click karke aap apna account delete kar sakte hai. Button click karte hi Facebook aapse apka password aur koi sawal poochega, is savaal ka jawab dete hi aapka account delete hone ki request chali jaygi. Aapka account 14 dino ke baad delete hoga. Agar aap delete ki request ko cancel karna cahte hai to apne account me dubara se login karke aap apne account ko delete hone se bacha sakte hai. Lekin 14 dino ke baad kuch nahi ho sakta. Ek baat dhyan rakhiye agar Delete kardia to Facebook account hamesha ke liye chala jayega. To agar aap bilkul pakke nahi hai to ek bar dubara se apna account delete karne se pehle soch le. Is article me maine bataya ki Facebook account kaise delete kare. Aisi aur posts ke liye hame Facebook par jaroor Link kare. Thank you

Facebook ka Auto Play Video Feature kaise band kare ?

Agar aap Facebook chalate hai to aapne notice kiya hoga ki Facebook ne naya feature nikala hai jisme Video apne aap autoplay hone lag jaati hai. Pareshani ki baat ye hai ki ye feature Desktop ke sath sath mobile par bhi Videos ko apne aap chala raha hai. Hamare Private Facebook Group me bhi kayi […]

Facebook Developer Kaise Banahein

Facebook developer banner ke baad aap Facebook se related Applications ya games bana sakte hai. Facebook developer banna bilkul Free hai. Kayi badi companies Sirf Facebook Development se hi Lakho Rupeey kama rahi hai. Facebook Developer Kya hai? Aap Facebook ki technology ko apni website ya business ko bhadane ke liye use kar sakte hai. Isko use karne ke liye Facebook ek platform deta hai jaise ki“Facebook Developers” Kehte hai. Is platform par jo log register karkar us Technology ka use karte hai, un logo ko Facebook Developer kehte hai. Facebook Developer Kaise Bane Facebook developer banne ke liye aap sabse pehle is link parjaye. https://dev elopers.fac ebook.com /apps/ Is page par jakar Register Nowparclick kare. Click karne ke baad Facebook security ke liye aapka password puchega. Password dalne ke baadSubmitbutton parclick kare. Ek aur dilog box khulega isme policy accept karne ke liyeswitch button ko NO se YES kare. Next parclick karde. Yes par click karte hi Facebook aapke pakke proof ke liye aapka phone Number mangega. . 1.ApnaPhone numberdale 2.Send as Text parclick kare 3.Aapke phone me ek message aaega, Message mai diye gaye confirmation code ko3rd box me bhare 4.Sabhi details bharne ke baadRegisterparclick kare Register par click karte hi aap Facebook ke developer ban jaoge. Ab aap Facebook developer ban gaye hai, aap facebook ki technology ko use karke koi bhi application bana sakte hai. Is article se related koi bhi jankari ke liye neeche comment kare. Thank you for learning.

Facebook Ke Shortcuts se Time Bachaye!

Agar aap apne computer se Facebook ka regular use karte ho to aap Facebook ke keyboard shortcuts use karke apna time bacha sakte ho. Is article me hum Facebook ke Keyboard Shortcuts ke baare me jaanege. Facebook ke sabse important shortcuts. Jab aap Facebook check kar rahe hote ho to aap sabse jada time apni Facebook Feed to upar neeche dekhne me aur uspar comment ya like karne me lagate ho. Jkey press karke aap agli (next) post par jaa sakte ho Kkey se aap pichli (previous) post par jaa sakte ho Ckey se aap jis post par ho uspar comment kar sakte ho Lkey se aap Like kar sakte ho, unlike karne ke liye L key ko like key hui post par dobara press kare. PNaya Status Post karne ke liye Sshare karne ke liye EscKeyboard shortcut se wapas aye Facebook ke Advanced Shortcuts Advanced shortcuts ka use karke hum apni Facebook ke ek page se doosre page par jaa sakte hai, apni Privacy aur Account setting ke page par bhi ja sakte hai. Advanced shortcut use karne ke tarika Browser par depend karta hai. Chrome ke liye hum shortcut ko Alt ke sath use karte hai, jaise ki Home par jane ke liyeAlt+1 Firefox me humShift + Altka use karte hai, to home page par jaane ke liye humShift + Alt + 1 Keys: *./ – Search *.m – New Message *.0 – Help *.1 – Home *.2 – Timeline *.3 – Friends *.4 – Inbox *.5 – Notification *.6 – Account Settings *.7 – Privacy *.8 – About *.9 – Terms Agar aapko apne Inbox me jana hai to aapChromemeAlt + 4dabayege aurFirefoxmeAlt + Shift + 4 Agar aapko in Sabhi shortcuts ki list apne Facebook time line me hi cahiye to aapShift + ?button dabaye Agar aapko bhi kisi nayi shortcut key ke baare me pata hai to neeche comment kare.

Skype Kaise Chalaye (Use Kare)

Skype Kaise Chalaye (Use Kare) Hume apne pichle article me skype ki id banai seekhi hai, Lekin ID banane ke baad use Istimaal bhi karna aana cahiye. Is article me hum seekhege ki Skype Id dwara doorse logo se kaise judte hai, kis tarhan Audio aur Video calls karte hai, kaise apni profile edit karte hai aur kaise hum apne skype ka status badal sakte hai. Skype Me Friends Kaise Add Kare Skype me friend add karne ke liye sabse pehle hamare pass us friend ki id honi cahiye. Agar aapke pass abhi koi friend nahi hai to no problem aap hume add kar sakte hai. Hamari Skype id haivikas.plus Add karne ke liye jada left me Search likha hai vaha par dost ki id daale aurSearch Skypepar click karde. Ab aapke friend ki aur uske naam se milti julti profile ki ek list aa jayegi, aap apne Friend ke naam par click kare aur “Add to contact” par click karde. Ek box kul jayega usmeSendpar click karde. 1. Friend kanaam select kare 2.Add to Contactpar click kare 3.Sendpar click kare. Aapki request mujhe pohot jayegi. Mai jab aapki request accept karuga to me aapki id par click karuga aur firAcceptpar click kar dunga. Aisa karne se me aapko apni Skype id me jod lunga. Friend banne ke baad aap mujhse Audio call, Video call ya Message bhi kar sakte hai. Video call kaise kare. Jisko bhi call karna hai uske naam ko chune aur Video call karne ke liye Camera wala button babaye aur audio call karne ke liye phone wale button par click kare. Aage Padhe: 1. 3G aur 4G kya hai aur inme kya fark hai ? 2. Resume aur CV me kya anter hai ? Profile Kaise Edit kare Profile edit karne ke liye aap apne skype menu me jaakar.Profile > Edit your profile select kare. Ab aapke saamne aapki profile ki poori detail aa jayegi, apni profile delete me kuch bhi change karne ke liye us detail par click kare. Changes karne ke baad chote se Tick button par click karde. Skype Status Change Kare? Skype koi Social Network nahi hai, to yaha ke status aur Facebook ke status dono me farak hai. Yaha ke status ka matlab hai ki aapka Skype kis state (stithi) me hai. Stithi se mera matlab hai Offline, Away, Online, Invisible ya Do Not disturb. Status change karne ke liye aap Skype menu me jaakar Online status par click kar sakte ho. Status change karne ki isliye jaroorat hai ki Skype ek application hai jo hamesha khuli rehti hai, aap nahi cahte ki lag aapko har samaye calling karte rahe. Online:Iska matlab hai ki aapki profile abhi online hai, aur aapko koi bhi vyakti abhi calling kar sakta hai. Away:Is status ko rakhne se logo ko ye pata chal jayega, ki aapka skype chal raha hai, lekin aap apne skype se door hai ya kisi aur kaam me busy hai. Do Not Disturb:Ye busy status hai, ye laal(Red) color ka status logo ko ye batata hai ki abhi aap bohot busy hai, aur ye aapko call karne ka sahi samye nahi hai. Invisible:Status ko invisible karne se logo ko lagega ki aapka skype band hai ya aap abhi offline hai. Invisible status me aapko message ki notification to milti rahegi, lekin aap offline rahege. Offline:Offline status aapki skype id ko bilkul band kardeta hai. Offline status tab bhi hota hai jab aap apne skype se sign our kar dete hai. Skype par block kaise kare Agar aapko koi Skype par parshan kar raha hai to aap us ki ID block kar sakte hai, jisse ki uske dwara kiya hua message aapke pass kabhi nahi pohchega. Block karne ke liye profile par right click kare, aur “Block this person” par click karde. Aap block karne ke baad us vyakti ki profile hata bhi sakte hai, “Remove from Contacts” par click karke. Maine aapko is Article mai Skype ke lagbhag sabhi features samjha diye hai. Agar aapko ye article pasand aaya to hamara Facebook page jaroor like kare.

Facebook Par Video Audio Call Kaise Kare!

Bohot se log Facebook chatting karte hai leking unhone kabhi Facebook ka calling feature use nahi kiya hai. Facebook ka calling feature use karne se aap apne Mobile calling ke kaafi paise bacha sakte hai. Facebook ne Video call aur Audio call dono ke feature nikale hai. Aap video calling karke aapne dosto ka cehra bhi dekh sakte hai. Is article me mai aapko facebook dwara Video aur Audio call karni sikhauga. Facebook dwara calling kaise kare Step 1: Sabse pehle aap apne friend ke chatting me jaye aur agarVideo call karni hai to camera par click kare, agar audio call karne hai to Phone par click kare. Step 2: Ab aapka browser aapke camera aur mic use karne ke liye permission mangega, permission dene ke liye Allow par click kare. Step 3: Ab aapke friend ko aapki call chali jayegi. Lekin calling karne ki kuch conditions hai. 1.Agar aapka friend apne device par call nahi kar sakta to use call nahi jayegi. 2.Aapka friend online hona cahiye. Ye ek choti si tip hai, leking agar is choti se tip se aap logo ke kuch paise bach jaye to mujhe bohot khushi hogi.

Google Par Photo Kaise Set Karen

Chaliye jaante hai Google Par apna photo kaise dekhe Sabse phele me aapko bata du ki aap Google par apni Image upload nahi kar sakte q ki Google ek Search Engine hai, jo dusri site ko search karta hai or unki image ko bhi. To Sabaal ye hai ki google par photo kaise aayega Ye bhut saral hai or jab aap ye jaanloge to aap bhi sochoge ki ye kitna saral tha. Google par photo laane ke liye aapko karna ye hai ki aapko apni photo kisi site par upload karni hai. Aapka Facebook,Twitter, ya Google+par account to jarur hoga. aapko karna ye hai ki apni photo in sites par upload kare or publicly share kare. Image ko upload karne ke baad us image ka naam or uski puri jaankari jarur like Maanlo aap Facebook par ek photo upload kar rahe hai to jo sabse jaruri baat bo ye ki aapko us image ka naam or us photo ke baare me jarur likhna hai. jabhi bo image search me aa payegi. bo photo jis naam se hogi agar us naam ko ham search karege to bo image bhi google ke image search me aayegi. Agar aap apni jaankari online share karna chate hai to Facebook Twitter to hai or aap Google+ par apna account banayege or usme apni jaankari or apna photo upload kare. iske baad agar koi aapke naam se search karega Google par to aapka photo google ke Image search me jarur aayega. Image upload karne ke baad thoda time lagta hai search engine me image aane me. thoda intjaar kare. Image Blog me Upload karke Google me laye Ye jo tarika hai ye sabse kargar tarika hai Apni Image ko Google me dikhane ka..uske liye kya karna chaliye jaante hai – 1. Sabse phele apna ek Blog banaye Blogger par 2.Ab usme ek post likheor kaise apni image ki setting kareuski jaankari yaha hai. Blogger me sahi se image upload karne ke baad jada chances hai search me aane ke.. Thoda time lagta hai.. 1 mahina tak lag sakta hai. Ummid hai aap ab samaj gaye hoge ki Image ko kaise Google par daale. or ye kitna saral hai par agar aapko fir bhi koi dikkat aa rahi hai to aap muje comment ke jariye bata sakte sakte hai. Agar aapka Internet se related koi bhi sabaal hai to aap bo bhi puch sakte hai. Internet ki or jaankari ki liye hamara facebook page like jarur kare.

Google Plus Par Page Kaise Banate Hain

Google+ ek Social Networking site hai, Facebook or Twitter ki trha. Ham ispar logo se jude rha sakte hai. Agar hamara koi busness hai to ham uska Page bhi bana sakte hai, Facebook Page ki trha.. Page ki madad se ham logo tak hamare busness ki jaankari phucha sakte hai.. Jo log usko follow karete hai. Google+ Page Kaise Banaye Google+ Page banana bhut hi aasan hai, simple aap meri steps ko follow kare – Step 1: Google+ me Login kare. Agar Google+ par account nahi hai to yaha dekhe Step 2: Google+ me login karne ke baad site me Home ki button hai, uspar mouse lejakar, Pages par click kare. Step 3: Ab aapke samne Aapke pure Pages ki list aa jayegi, jo bhi aapne banaye hoge.. New Page Banane ke liye Get your Page par click kare. Step 4: Ab aapke saamne Page ki Category ke liye option aayega.. ki aap kis topic par page banana chate hai. *.Storefront:Agar aap ki koi Dukan, Hotel, Restaurant hai to aap isko select kare.. *.Service Area: Agar aap koi service dete hai or uske liye page bana rahe hia to isko select kare.. jese Texi, Servicing, Delivery bagera. *.Brand:Agar aapki koi brand hai to aap ye select kare.. jese me website ke liye bana raha hu to me Brand Select kar raha hu. Step 5: Ab aapke samne ek form khulega, usme Page ki detail dalni hai. *.Page Name: Page ka Naam Dale *.Website: Aapki Website ki jo link hai wo dale *.Type of Page: Page kis type ka hai, usko select kare. Pages Terms ko maanne ke liyte tik kare.. fir last me Create Page ki button par click kare. Ab Aapka Page to Ban Chuka hai, Page banne ke baad ek aesa Page aayega, jisme aapko Welcome kiya jayega.. Page ki detail ko update kare, Or aapka Page duniya ke liye teyar hai.. Agar aapko koi paresani ya koi sabal hai to aap Comment karke jarur puche.

Google Plus Par Account Kaise Banate Hain

Hello Friends Ham Facebookor Twitterke bare me to phele hi jaan chuke hai or aaj Google+ ke bare me jaanege. Google+ ek Social Networking site hai jo Google ki hai, is site par ham apne dosto se jude rha sakte hai bilkul facebook ki trha, agar aap koi online work karte hai ya fir aapka koi business hai to aapka is par bhi account hona chaiye. Agar aap facebook Use karte hai to aap Google Plus jarur tri kariye, ye aapko jarur pasand aayegi. Hamara jo Gmail ka account hai uski Profile image bhi Google+ par hi sate hoti hai. Google+ kya hai ye achi se jaanne ke liye yaha pade Kya Kya chaiye Google+ Account banane ke liye *.ek Computer jisme Net Chalu ho. (*Mobile me bhi kar sakte hai par usme is trha se option nahi aayege.) *.Ek Email Id, agar nahi hai to phele Email ID banaye Google+ Par Account Kaise Banaye Ab aapko meri Steps ko Follow karna hai – Step 1: Google+ki site par jaye, Fir Apne Gmail ki ID se login kare. Step 2: Ab aapke saamne jo page aayega usme kuch id aayegi jinko aap follow ya add kar sakte hai, aap jisko chahe add kare uske baadContinueki button par click kare Step 3:Ab aapko apni Profile ki jaankari daalni hai 1.Photo upload karne ke liyeUpload Imageki link par click kare.ye hi image aapke email id par bhi dikhegi. 2.Aap kahakaamkarte hai wo dale 3.Aap jaha kaam karte hai bha paraapki kya posthai 4.Aapne konseSchoolse padai ki uska naam 5.School se kis saal pass huee 6.Aap kaha rhate hai, usshare ka naam 7.Pura form bharne ke baadFinishki button par click kare. Jese hi aap Finish ki button par click karege aapka account teyaar hai, ab aap Apne Google+ account ko use kar sakte hai. Muje Follow kare Google+ Par – www.Google.com/+Aagha Hasan Blog Tips Help ke Page ko jarur Follow kariye New Post ki jaankari Page ke liye. To Friends Aasan tha naa, Wo isliye ki ye Google ki hi Service hai. Agar aapko or koi baat jaanni ho Internet se sambandit to aap bilkul puch sakte hai.

Twitter Me Photo Kaise Set Karte Hain

Sabse Phele Twitter.com me Login kare. Apni Twitter ki Profile par jaye. Ab Edit Profile ki button par click kare, uske baad aap apne account ki Detail ko Edit kar sakte ho. 1.Header photo: Header ke liye Image Upload kare (siz 1500×500 pixels) 2.Profile photo: Apni Photo Dale (size 400×400 pixels) 3.Name: Apna Naam Dalna Hai 4.Bio: Apne Bare me 160 sabd se jada nahi. 5.Location: Aap kaha se hai, jagha ka naam. 6.Website: Agar aapki koi website hai, to uska Address 7.Theme color:Twitter Profile par konsa color chate ho select kare. 8.Birthday: aapki Janm din dale. Puri Detail Daalne ke baad Save Changes ki button par click kare. To Ab aap Twitter ki Profile ki detail kaise update karte hai, ye aap jaan chuke hai.. OR kaise Image Upload karte hai Twitter par ye bhi aap jaan chuke hai. Agar aapki Blog hai uske liye bhi Twitter account to jaruri hai hi, sath me Facebook Page or Google+ Page bhi jaruri hai. Apne Sabal, Comment karke bataye.

Bottom Ad (728x90)