Showing posts with label Mobile Tips. Show all posts
Showing posts with label Mobile Tips. Show all posts

1 November 2015

Android Phone Me Screenshot Kaise Liya Jata Hai!

Hum Genaration ke sath badal rahe rahe hai. Aaj jyadatar longo ke pass Android Smart phone paya jata hai. Par jyadatar longo ko iske Feachures ke bare me nahi pata. To aaj hum Android OS wale phone ke aise hi ek Feachure ke bare me janege. Aaj hum janege Android Phone me Screenshot kaise liya jata hai aur iske kya-kya fayde hai. Android Phone Me Screenshot Kaise Le - Android Phone me Screenshot lena bahut simple hai. Bus apko Valume Down Key + Power On/Off Keyko 2 se 3 Second tak dabana hai. Dabane ke bad apko ek Notificatuion ayega"Screenshot Captured"bus apka Screeenshot Phone Memory me Shave ho jayega. Main apko bata du ki ye Feachure sirf"Icecream Sandwich, Jally Bean, Kit Kat aur Lolipop"me hi diya gaya hai. Is Feachure Ke Fayde - • Is se aap apne Phone me kisi bhi chij ka Screenshot bana sakte hai. • Internet Brows karte huve koi bhi Page ka Screenshot le sakte hai. • Apne Gaming High score ke Screenshot le kar Friend me Share kar sakte hai. • Screenshot ke Image ki Quality Original hoti hai. Jisse koi chij Details me padhi ja sakti hai.

Android Phone Se Computer Me Internet Kaise Chalaye!

Hello Dosto kya aap apne Android Smart Phone se Computer me Internet chalana chahte hai..? Agar haa..to aaj ki ye post isi topic par bassed hai. Android Phone aaj kal aam bat ho gai hai. Aaj kal har kisi ke pass ek Android Phone hota hai. Aise me agar aap apne Computer main Internet chalane ko lekar paresan hai to is Post ko pura padhiye... Is Post me, Main apko bataunga ki kaise hum apne Android Phone ko Computer se Connect kar ke Internet chala sakte hai. Android Mobile Se Computer Me Internet Kaise Chalaye Step 1 - Sabse pahle apne Android Phone ko USB ke dwara Computer ya Laptop se Connect kare. Step 2 - Apne Mobile ke DATA ko On kare aur check karle ki Mobile me Internet thik se khul rhi ho. Step 3 - Ab Setting me jaye. Aur Wireless & Hotspot par click kare aur Thethering & portable hotspot me USB Tethering Option par click kar ke Enable kar de. Thethering & portable hotspot USB Tethering Step 4 - Ab aap dekhenge ki apke Computer ke Desktop me Left Side ke niche ek is tarah ka sign aa rha hoga. Is sign ka matlab apka Internet Connecting Proccess me hai... Jab Apka Internet Connect ho jayega to is tarah ka sign dikhega...Ab aap apne Computer me Internet khol kar dekhiye apka Internet khul rha hoga....Enjoy ! Karen aur dosra kohi Help Chahiyeh To Mojhe Comment Karen!

Android Mobile Ke Pattern Lock Ko Unlock Kaise Karte Hain

Dosto bahut se log apne Android Smart Phone me Pattern Lock ka istemal karte hai. kai bar aisa hita hai ki hum Pattern Lock kar ke bhul jate hain, aur kai bar Try karne se humara Phone Lock ho jata hai. aur Email, Password magne lagta hai. par Email aur Password dalne par bhi humara Phone Unlock nahin ho pata hai. To aaj main apko bataunga ki Android Smart Phone ko kaise Unlock karte hai Hard Reset ki madat se. Samsung Android Phone Ke Pattern Lock Ko Unlock Kaise Kare :~ Step 1 Sabse pahle apna Phone Switch off kar de. Fir Velume Up Key + Home Key aur Power On Keyek sath 15 second tak daba kar On kijiye. Step 2 Ab ek Boot Menu khulega usme Factory Reset ko Select kariye.Select karne ke liye Velume Upaur Velume Downka Istemal kijiye.Fir Home Botton ki madad se Faktory Resetme Ok kar dijiye. Congratulation!! Apka Phone Reset ho gya aur Pattern Lock bhi hat gaya hoga. Other Android Smart Phone Ke Pattern Lock Ko Unlock Kaise Kare :~ Step 1 Sabse pahle apna Phone Switch off kar de. Fir Velume Up Keyaur Power On Keyek sath 15 second tak daba kar On kijiye. Step 2 Ab ek Boot Menu khulega usme Factory Reset ko Select kariye.Select karne ke liye Velume Up aur Velume Down ka Istemal kijiye. FirPower On Bottonki madad se Faktory Resetme Ok kar dijiye. Apka Phone Reset ho jayega aur Pattern Lock bhi hat gayega.

Multiple Facebook Accounts Kaise Chalaye Ek Android Phone Me

Dosto Aap me se bahut se log apne Ek Android Smart Phone me Multiple Facebook Accounts chalana chahte hai Par Aap Ek se jyada Facebook Accounts Ek sath nahi chala pate. To Aaj hum ek aise App ke bare me janege jisse hum Apne Ek Android Phone me Multiple Facebook Accounts me Login rah kar chala sakte hai. Us App ka naam hai "Fast". Ye App aap Google Play Store se Free me Download kar sakte hai. "Fast" App Ka Use Kaise Kare Multiple Facebook Accounts Access Karne Ke Liye - •Sabse pahle apko ye App Google Play Store se Download karna hoga. •Download karne ke bad ise apne phone me Install kare. •Install hone ke bad jab aap ise kholege to aap dekhenge ki Login ka Option aa rha hoga. Login par click kar ke apna Facebook User Name aur Password Enter kare. •Ab apka Facebook "Fast"se jud gaya hai. Aap aise hi aur bhi Accounts jod sakte hai "Fast" App se. •Agar apko aur bhi Accounts Add karna chahte hai to Menu me Login/Logout ke Option par jakar kar sakte hai. "Fast" App Ke Fayde - •Aap is App ki madat se asani se apne Status Update, Massages Send aur Photos Share kar sakte hai. •Iska sabse achha Feachure hai ki aap Multiple Accounts me ek sath Login rah kar use kar sakte ho. •Ye Default Facebook App se Fast chalta hai. •Aap Themes ke Color aur Fonts ke Size ko Costomize kar sakte ho apne hisab se. To Dosto Aasha karta hun ye Jankari apke liye helpful hogi. Apko ye jankari kaisi lagi aap apne Comments jarur digiyega aur Hume Email par Subscribe jarur kare...Dhanywad!

Android Phone Me Facebook Messenger Ko LogOut Kaise Kare

Hello Dosto kya aap apne Android Phone me Facebook Messenger use karte hai...? Agar haa ! To kya apko Facebook Messanger ko Logout karne ka koi tarika pata hai. Shayad nahi ! Kyonki Facebook Messenger me Logout karne ka koi Option nahi hota. Ek bar jab aap is me Login ho jate hai to ye humesha Login hi rhta hai. Hum me se bahut se log ise pasand nahi karte. Kyonke jab humare phone me Data On rhta hai to hum Facebook main Automatic Online ho jate hain. Jiske vajah se hume lagatar Massages aate rhte hai.Is me koi sak nahi ki Messenger ek aisa jariya hai jisse hum apne friends ke sath asani se connected rah sakte hai. Par hum 24X7 Facebook me Active nahi rhna chahte.Par Apke pass koi Option hi nahi hota ki aap Logout ho sake.Lekin main apko ek aisa tarika bataunga jise aap asani se Facebook Messanger ko Logout kar sakte hai.to chaliye jante hai kaise.. Facebook Messanger Ko Logout Kaise Kare - Facebook Messenger ko Logout karne ke liye sabse pahle • Messenger ko Close kijiye. Aur Recent apps ko clear kar le. Fir >>> •Settings par jaiye. • Aur Application Manager ya Appspar click kijiye. • Fir Messenger per click kijiye. • Ab app Dekhenge Clear Data ka Option hoga. use par click kijiye. • Ab apko puchha jayega "Delete App Data"OK kar dijiye. Ab jab aap Messenger ko kholenge to dekhenge ki aap Logout ho chuke hai aur ye apse fir se Login karne ko kah rha hoga. Dosto ye ek matra rasta hai Facebook Messenger ko Logout karne ka. Apko Meri Ye Jankari Kaisi Lagi Aap Mujhe Comments Ke Jariye Jarur Bataye. Agar Aap Chahte Hai Ki Hum Jo Naya Post Kare Vo Apko Pata Chale To Aap Hume E-mail Par Subscribe Kar Sakte Hai Ya Humare Facebook Page Ko Like Kar Sakte Hai..

Bottom Ad (728x90)