2 November 2015

Facebook Page Kaise Delete Kare

Facebook page ko delete karna bohot simple hai, par ek baar page delete ho jaye to wapas nahi aa sakta. Ek aur tarika hai ki aap apne page ko unpublish kar sakte hai, isse aapka page logo ko dikhega nahi aur delete bhi nahi hoga. Aap jab bhi chaho apne page ko wapas publish kar sakte hai. Is article me mai apko page delete karna bhi sikhaunga aur unpublish karna bhi. Facebook page me login kare Kuch bhi karne se pehle hme Facebook page par loginkarna hoga. Login karne ke liye upar right corner me down arrow parclick kare. Dropdown me seManage Pagespar click kare aapke sabhi pages ki list khul jayegi, jis bhi page me aap login karna cahte hai us page ke age likheLogin button par click kare. Ab aap apne Facebook page mai login ho chuke hai. Upar likheSettingsbutton parclick kare Setting page se hum apne Facebook page ko unpublish ya delete kar sakte hai. Facebook page ko un-publish kaise kare? Agar aap apne page ko kuch samye ke liye band karna cahte hai to aap page ko unpublish kar sakte hai. Unpublish karne ke liye: 1.Page Visibilityoption parclick kare 2.Unpublish Page checkbox parclick kare 3.Save Changes kar de Aisa karne ke baad apka Facebook page unpublish ho jayega Facebook page ko hamesha ke liye Delete kaise kare? Facebook page ko hamesh ke liye delete karne ke liye neeche diye gaye Remove Page option ke aage like “Permanently delete PAGE KA NAAM” parclick kare. Deletebutton parclick kare, aur aapka page hamesha ke liye delete ho jayega. Agar apke pass faltu ke Facebook page bane hue hai to aap unko upar diye gaye tariko se Delete kar sakte hai. Agar apko Facebook se sambandhit koi bhi jankari cahiye to hume apna sujhav neeche diye gaye comment box me bheje.

Facebook Par Cover Photo Kaise Lagaye

Agar aap Facebook par naye hai to apko shayad Facebook cover photo ke bare me na pata ho. Aapko apni Facebook profile ko aur jada akarshak(attractive) banae ke liye usme cover photo lagni cahiye. Ye cover photo apki personality to darshane ke kaam aayegi, jisse ki apke friends ko apke bare me janne ka aur jada moka milega. Aapki profile picture aur apki cover photo do cheeze hai jo apki profile par aane wala vyakti sabse pehle dekhta hai. Log jadatar yha par aisi images lagate hai jise wo sabse jada pasand karte hai. Is article me mai apko batauga ki Facebook par cover image kaise lagate hai. 1. Apni Facebook profile par jaiye 2. Camera icon par click kare Profile page kholne ke baad cover image par banecamera icon ko click kare click karte hi ekdropdown menukhul jaega, agar aap nai photo dalna cahte hai to usme seUpload Photo par click kare Aage Padhe: 1. Facebo ok par Profile Picture kaise change krte hai ? 2. Sarkari naukari ke results dekhne ke liye best website s ? 3. Photo Select kare Image upload par click karte hi windows explorer khul jayega, jisme se aap apni parsand ki photo ko select karkeopenparclick kare. open karte hi cover image upload hona shuru ho jayegi 4. Cover image Save kare Image upload hone ke baad cover image to drag karke uski position set kar aur finally Save Changesparclick karde Agar aap dubara se cover image ko change karna cahte hai to phir se inhi simple step ko follow kare. Agar aapko ye article pasand aya to neeche diye gae comment box me apne sujhav jaroor bheje. Iss article ko padne ke liye. Thank You

Skype id Kaise Banaye!

Aap me se kayi logo ne Skype ke baare me suna hoga, aur bohot se log ye janna cahte hai ki Skype kya cheez hai aur iska kya use hai. Chalo pehle jaante hai ki…. Skype Kya Hai? Skype ek software hai jiske dwara aap free me audio ya video calling kar sakte hai. Skype phone par bhi chalta hai to iska matlab hai ki hum apne mobile par bhi skype chala sakte hai, aur dunia ke kisi bhi kone me bethe kisi bhi vyakti se jud sakte hai. Aap skype dwara chat bhi kar sakte hai. Skype ki khass baat ye hai ki Skype video aur audio calling me specialize karta hai, se best software hai video audio calls karne ke liye. Skype ko kuch samaye pehle Microsoft ne kharid liya tha jisse ki iski position aur quality market me aur behtar ho gayi hai. Wikipediake anusaar Skype 2014 me lagbhag 40% log International calling ke liye Skype ka upyog karte hai. Iska ye kaaran ho sakta hai ki ISD calls bohot mehngi hai, aur skype dwara aap mobile ya landline par call bohot sasti hoti hai, leking skype to skype call bikul free hai. 2014 me India me Skype to mobile aur landline feature hata diya hai. Lekin aap Skype-to-Skype calls ya International mobile and landline calls abhi bhi kar sakte hai. Skype application computer aur mobile dono ke liye uplabdh hai, to chaliyeaaj hum is article me Skype ko download karna seekhte hai. Skype kaise download kare Skype download karne ke liye www.skype .compar jaye ab upar menu me se Sign In par click kare. Ab ek login form aajaye ga. Kyoki abhi hamare pass login id nahi hai to abhi ke liye hum Create new accountpar click karege Ab agle page par ek form aajaega jisko bharkar hum apni Skype id bana sakte hai. Sabse pehle apnaNaamaurEmailbhare Aage Padhe: 1. Skype ID kaise chalaye ? 2. Facebo ok Develo per kaise bane ? Ab apni baaki ki details bhare. Skype Nameme aapki Skype id aajyegi. Is ID par hi log aapse contact kar sakte hai. Aapki Id sabse alag honi cahiye, agar aapke naam ki id uplabdh na ho to aap Naam ke sath kuch number lagakar bhi try kar sakte hai. Skype Name likhne ke baad apna Password bhare. Ab neeche diye gaye box me photo me jo bhi likha hai use dekhkar bharde, aurI agree – Continuepar click kare. Aapki Skype ID ready hai, ab hum Download Skype par click karke apne computer me skype kar software daal sakte hai. DownloadSkype for Windows parclick kare. Ab download kiya huaSkype setup khole Apni bhasha select karke “I agree – next” par click kare. Continuepar click kare Ab aapka Skype download hona shuru ho jayega. Download hone me 5-10min lag sakte hai, ye aapke Internet ki speed par nirbhar karta hai. Skype download hote hi aapke saamne ek Login form bana aajayga. Is login from me aap apnaSkype ki ID , password daale, aurSign inpar click karde. AbYespar click kare Continuepar click kare Ab Skype aapse apni ID ke liye profile picture lagane ko bolega, picture lagane ke liyeBrowserpar click kare apni picture select karkeOpenpar click kare. Apne picture adjust karkeUse this picturepar click kare Aapki Skype picture lag chuki hai, aap “Start using Skype” par click karke shuru kar sakte hai. Aapka Skype ab ready hai. Skype me Sign Out karne ke liye aap uparSkype > Sign Outpar click kare. Ab mai cahata hun ki aap abhi ke abhi skype downlaod kare, aur usme account banakar Sign In kare, Kyoki ane waale articles me hum aapko Skype ka use karna sikhayege. Thank you

1 November 2015

Facebook Delete Ya Deactivate Kaise Kare

Facebook par is samay140 crorelog hai par har koi Facebook se khush nahi hai. Aap me se kayi sare log aise honge jinko Facebook ki aadat pad gayi hai, ya aapko Facebook me itni sari notifications aati hai, jobhi baat hai aap ab bas Facebook account ko band karna cahte hai. To Facebook se chutkara(छुटकारा) kaise paye. Apke paas do tarike hai, ya aap apne account ko deactivate kar sakte hai aur ya aap apne account ko delete kar sakte hai. Facebook account delete karne se pehle me aapko batauga ki account ko deactivate kaise karna hai. Facebook account deactivate kaise kare? Deactivate karne ka matlab hai ki aap Facebook account thode dino ke liye chod rahe hai aur aap Dubara bhi Apna account activate kar sakte hai. Deactivate karne ke baad apki Facebook profile aur jo bhi apne aaj tak activities ki hai wo sab Facebook se hat jayegi. Facebook apke data ko sambhal ke rakhega, aap jab cahe apne account ko reactivate kar sakte hai. Account ko deactivate karne ke liye apne Facebook profile me login kare. Upar right corner me se downward arrow par click kare. Ismese settings par click kare. Left side me security likha hoga uspar click kare Agle page par Deactivate Account par click kare Dobara se Deactivate your account link par click kare Ab is page me Facebook account delete karne ka karan poochega, karan select kare. Maine “I spend too much time using Facebook”ko choose kiya hai, iska matlab hai“Mai Facebook par bohot jada time laga raha hun”. Karan select karte samye Facebook apko rokne ki koshish karega par aap cancel par click karde. Karan select karne ke baad Deactivate button par click kare. Notice: Agar aapke account se Facebook group ya page juda hai, to account deactivate karne ke sath sath ya bhi band ho sakte hai. To behtar hoga ki account deactivate karne se pehle kisi aur ko apne Facebook page ya group ka admin bana de. Deactivate button par click karte hi aapka account deactivate ho jayega. Facebook Account Ko Delete Kaise Karte Hai? Account delete karne ke baad aapka Facebook account hamesha ke liye band ho jayega. Aap deleted account ko dubara se activate nahi kar sakte, aapko agli bar naya account hi bana padega. Notice:Facebook account delete karne se pehle aap apne Facebook ka poora data download kar sakte hai. Facebook account ka data download karne ke liye dubara se settings me jaye, (down arrow select karke). General settings ke andar download data ka option hoga, uspar click kare. Start My Archive par click kare, isse Facebook aapke liye ek download file banadega. Page refresh kare aur apke samne Download Archive ka button bana aajayega, Is buttom par click kare aur apne data download kare. Ab account delete karne ke liye Facebook koi seedha option nahi deta. Par account delete karne ke liye aap apni facebook id ko login rakh kar is link par jaye. https://ww w.facebook .com /help/delet e_account ek page khulega jime Delete My Account ka button bana hoga. Is button ko click karke aap apna account delete kar sakte hai. Button click karte hi Facebook aapse apka password aur koi sawal poochega, is savaal ka jawab dete hi aapka account delete hone ki request chali jaygi. Aapka account 14 dino ke baad delete hoga. Agar aap delete ki request ko cancel karna cahte hai to apne account me dubara se login karke aap apne account ko delete hone se bacha sakte hai. Lekin 14 dino ke baad kuch nahi ho sakta. Ek baat dhyan rakhiye agar Delete kardia to Facebook account hamesha ke liye chala jayega. To agar aap bilkul pakke nahi hai to ek bar dubara se apna account delete karne se pehle soch le. Is article me maine bataya ki Facebook account kaise delete kare. Aisi aur posts ke liye hame Facebook par jaroor Link kare. Thank you

Facebook ka Auto Play Video Feature kaise band kare ?

Agar aap Facebook chalate hai to aapne notice kiya hoga ki Facebook ne naya feature nikala hai jisme Video apne aap autoplay hone lag jaati hai. Pareshani ki baat ye hai ki ye feature Desktop ke sath sath mobile par bhi Videos ko apne aap chala raha hai. Hamare Private Facebook Group me bhi kayi […]

Facebook Developer Kaise Banahein

Facebook developer banner ke baad aap Facebook se related Applications ya games bana sakte hai. Facebook developer banna bilkul Free hai. Kayi badi companies Sirf Facebook Development se hi Lakho Rupeey kama rahi hai. Facebook Developer Kya hai? Aap Facebook ki technology ko apni website ya business ko bhadane ke liye use kar sakte hai. Isko use karne ke liye Facebook ek platform deta hai jaise ki“Facebook Developers” Kehte hai. Is platform par jo log register karkar us Technology ka use karte hai, un logo ko Facebook Developer kehte hai. Facebook Developer Kaise Bane Facebook developer banne ke liye aap sabse pehle is link parjaye. https://dev elopers.fac ebook.com /apps/ Is page par jakar Register Nowparclick kare. Click karne ke baad Facebook security ke liye aapka password puchega. Password dalne ke baadSubmitbutton parclick kare. Ek aur dilog box khulega isme policy accept karne ke liyeswitch button ko NO se YES kare. Next parclick karde. Yes par click karte hi Facebook aapke pakke proof ke liye aapka phone Number mangega. . 1.ApnaPhone numberdale 2.Send as Text parclick kare 3.Aapke phone me ek message aaega, Message mai diye gaye confirmation code ko3rd box me bhare 4.Sabhi details bharne ke baadRegisterparclick kare Register par click karte hi aap Facebook ke developer ban jaoge. Ab aap Facebook developer ban gaye hai, aap facebook ki technology ko use karke koi bhi application bana sakte hai. Is article se related koi bhi jankari ke liye neeche comment kare. Thank you for learning.

Facebook Ke Shortcuts se Time Bachaye!

Agar aap apne computer se Facebook ka regular use karte ho to aap Facebook ke keyboard shortcuts use karke apna time bacha sakte ho. Is article me hum Facebook ke Keyboard Shortcuts ke baare me jaanege. Facebook ke sabse important shortcuts. Jab aap Facebook check kar rahe hote ho to aap sabse jada time apni Facebook Feed to upar neeche dekhne me aur uspar comment ya like karne me lagate ho. Jkey press karke aap agli (next) post par jaa sakte ho Kkey se aap pichli (previous) post par jaa sakte ho Ckey se aap jis post par ho uspar comment kar sakte ho Lkey se aap Like kar sakte ho, unlike karne ke liye L key ko like key hui post par dobara press kare. PNaya Status Post karne ke liye Sshare karne ke liye EscKeyboard shortcut se wapas aye Facebook ke Advanced Shortcuts Advanced shortcuts ka use karke hum apni Facebook ke ek page se doosre page par jaa sakte hai, apni Privacy aur Account setting ke page par bhi ja sakte hai. Advanced shortcut use karne ke tarika Browser par depend karta hai. Chrome ke liye hum shortcut ko Alt ke sath use karte hai, jaise ki Home par jane ke liyeAlt+1 Firefox me humShift + Altka use karte hai, to home page par jaane ke liye humShift + Alt + 1 Keys: *./ – Search *.m – New Message *.0 – Help *.1 – Home *.2 – Timeline *.3 – Friends *.4 – Inbox *.5 – Notification *.6 – Account Settings *.7 – Privacy *.8 – About *.9 – Terms Agar aapko apne Inbox me jana hai to aapChromemeAlt + 4dabayege aurFirefoxmeAlt + Shift + 4 Agar aapko in Sabhi shortcuts ki list apne Facebook time line me hi cahiye to aapShift + ?button dabaye Agar aapko bhi kisi nayi shortcut key ke baare me pata hai to neeche comment kare.

Bottom Ad (728x90)