2 November 2015

Facebook par Status Update Kaise Kare!

Facebook me sabse jaada kaam me aane wala ek hi box hai, use Status update box kehte hai. Is box par likha rehta hai“What’s on your mind?”matlab “Apkne dimaag mai kya chal raha hai?”. Aap log is box mai apna koi bhi vichar, sandesh ya kuch bhi jo aap logo tak pohchana cahte hai likh sakte hai. Jaise ki agar me kabhe Delhi jata hun to apne box me likh deta hun “Kal me Delhi aa raha hun, Waha par mausam kaisa hai dosto?”. Ab mere sabhi dosto ko ye status pohch jayega aur agar koi Dost Delhi me ho to wo comment bhi kar sakta hai. Status update aapke dosto ko aapke baare me soochit rakhta hai. Status update kaise kare Box par click kare Status update karne ke liye sabse pehle “What’s on your mind?” box par click kare. Apna Status Daale Box par click karne ke baad usme apna status daale Sirf simple status update karna hai to likhkarPostbutton par click kare. Agar aap apne status update me aur bhi cheeze daalna cahte hai to padte rahiye. Status me Tag Kaise Kare? Maan ligiye aap apne dost ke sath hai to aap us dost ki Facebook id ko bhi tag kar sakte hai, Friend ko tag karne ke liye Person icon par click kare. Ek box khulega usme apne Friend ka naam dal de, itna karne se aapka friend tag ho jayega. Facebook par Check-in Kaise Kare? Aap jis jagha par khade hokar apna status update kar rahe hai, us jagha ko bhi aap apne status me daal sakte hai, isi ko check-in karna kehte hai. Agar aap apne Friend ke sath Delhi pohoch gaye hai to aap Delhi ka check-in kar sakte hai. Check-in karne ke liye Map icon par click kare, aur jagha ka naam dale. Emotions Kaise Dale? Aap Status update me apne emotions bhi daal sakte hai. Emotions ka matlab ki aapko kaise feel ho raha hai, agar aap traffic me fase hai aur gusse me hai to aap gusse wala emotion daal sakte hai, aur agar aap khush hai to khushi wala. Emotion dalne ke neeche diye gaye smiley button par click kare, aur apna emotion select kare. Status me photo kaise dale? Aap apne status update ke sath sath Photo bhi daal sakte hai, photo dalne ke liye camera icon par click kare. Windows explorer me se apni photo select karke open par click karde. Open karte hi aapki photo Status ke sath sath add/upload ho jayegi. Status ki Privacy setting kare Kabhi kabhi aap cahte hai ki aapka status har kisi ko naa jakar sirf aapke friend ko hi jaye ya dikhe, Iske liye aap down arrow wale button parclick kar sakte hai. Isme ek dropdown khul jayega jisme se aap apni privacy select kar sakte hai. Status Post Kare Ab jab aapka status poori tarha se ready ho jaye to aap update karne ke liyepost par click kare Post karte hi aapke status Facebook ki Timeline par aa jayega, aur privacy setting ke mutabik aapke dosto tak pohoch jaega. aisa dikhega aapka status update, aapke dost ispar Like, Share ya Comment kar sakte hai. 1.Like :Like button dubane se ye sabit ho jata hai ki jisne bhi ye button dabaya use ye status update pasand aaya hai 2.Share :Agar koi aapke status update ke share par click karke aapki status update ko share karta hai to iska matlab hai wo bhi yahi baat kehna cahta hai jo apne kahi 3.Comment :Aapke Friends aapki status update par comment kar sakte hai. Jaise hum asli duniya me apne dost ko kuch kehte hai, usi tarha hum yaha apne dost ko uski post ke bare me kuch keh sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Bottom Ad (728x90)