2 November 2015

Facebook ka Password Kaise Change Kare!

Agar apke Facebook ka password kisi ko pata chal gaya hai aur aapko darr hai ki wo vyakti aapke Facebook account me login kar saktha hai to dariye nahi. Is article hum seekhege ki Facebook ka password kaise badalte hai. Facebook ka password kaise badle Sabse pehle apni Facebook me login kare. Aur upar top right corner me down arrow par click kare aur waha se settings select kare. Setting par click karne ke baad jo page khulega usme se general setting me jakar Password par click kare. Apke same ek form bana aa jayga 1.Pehli field me apna pichla password bhare 2.Is field me apna naya (New) password bhare. Koshish kijiye apke password me numbers aur alphabets (abcd..) dono ka use hua hai. Isse password strong ban jata hai. 3.Dobara se apne naya password bhare, Jab password upar wale password se match ho jayga to neeche “passwords match” likha aa jayga. Sabhi details sahi se bharne ke baad Save Changes par click kare. Click karte hi Facebook aap se poochega, “kya aapne account ko doosre devices se logout karna cahte hai?” ya “login rehna cahte hai”. Mai yaha par pehla option select karke baki devices se logout karna cahta hun. Option select karke Submit par click kare. Submit par click karte hai aapka password change ho jayega. Agar ye article pasand aya to hamare Facebook page ko like karna mat bhooliye, Like karne se aapko naye articles ki jankari milti rahegi.

No comments:

Post a Comment

Bottom Ad (728x90)