2 November 2015

Gmail/Google Account Kaise Delete Kare!

Aapki Sabhi services Gmail se lekar YouTube Google account ka istemaal karti hai, hum kabhi kabhi ise Gmail account kehte hai lekin asal me ye Google account ki ID hoti hai jisse hum Gmail chalate hai. Agar aapne seekhte seekthe kayi sare Google accounts bana liye hai, ya aap Google account kisi wajha se delete karna cahte hai to mai is article mai aapko sikhauga ki ye sab kaise karna hai. Google Account Delete Karne ke Steps: 1. Sabse pehle Google Account (accounts.g oogle.com) ki link mai jakar login karo. 2. Aapke samne ek page khulega jisme ki ek box mai Sign-in & Security likha hoga, us box par click karo. 3. Left me ek menu bana hoga, uss menu me se “Delete your account or services” par click karo 4. Is page me apna Google account poori tarha se Delete karne ke liyeDelete Google Accountpar click kare 5. Ab Google aapko kahega ki “Ye account ek baar Delete hone ke baad dobara kabhi wapas nahi khulega. Aap is account ka sara Data download karke rakh sakte hai”. Agar aap apne account ka data download karna cahte hai todownload your datapar click kare, aur apna data download karle. 6. Is page par neecha aapko Google ki kuch conditions ko check karna hoga. Conditions check karne ke baad DELETE ACCOUNT button par click kare. Click karte hi aapka Google account hamesha ke liye Delete hojaega.

No comments:

Post a Comment

Bottom Ad (728x90)